Thursday, February 12, 2009

Ye tabiyat hai to



ye tabiyat hai to Khud aazaar ban jaayenge ham 
chaaraagar royenge aur GamKhvaar ban jaayenge ham 
 
ham sar-e-chaak-e-vafaa hain aur teraa dast-e-hunar 
jo banaa degaa hamen ai yaar ban jaayenge ham 
 
kyaa Khabar thii ai nigaar-e-sher tere ishq men 
dil_baraan-e-shahar ke dildaar ban jaayenge ham 
 
saKht jaan hain par hamaarii ustavaarii par na jaa 
aise TuuTenge teraa iqaraar ban jaayenge ham 
 
aur kuchh din baiThane do kuu-e-jaanaan men hamen 
raftaa raftaa saayaa-e-diivaar ban jaayenge ham 
 
is qadar aasaan na hogii har kisii se dostii 
aashnaaii men teraa mayaar ban jaayenge ham 
 
miir-o-Gaalib kyaa ke ban paaye nahiin faiz-o-firaaq 
zam ye thaa ruumii-o-ataar ban jaayenge ham 
 
dekhane men shaaKh-e-gul lagate hain lekin dekhanaa 
dast-e-gul_chiin ke liye talvaar ban jaayenge ham 
 
ham chiraaGon ko to taariikii se laDanaa hai'Faraz'
gul hue par subah ke aasaar ban jaayenge ham