Thursday, February 12, 2009

Khvaab marate nahiin


Khvaab marate nahiin
Khvaab dil hain na aankhen na saansen ke jo
rezaa-rezaa hue to bikhar jaayenge
jism kii maut se ye bhii mar jaayenge
 
Khvaab marate nahiin
Khvaab to raushanii hain,navaa hain,havaa hain
jo kaale pahaadon se rukte nahiin 
zulm ke dozaKhon se bhii phukate nahiin
raushanii aur navaa aur havaa ke aalam 
maqtalon men pahunch kar bhii jhukate nahiin
 
Khvaab to harf hain
Khvaab to nuur hain
Khvaab to suqraat hain
Khvaab mansuur hain