Saturday, June 9, 2012

Ishq Allama




Allama Iqbaal ne ilm-o-ishq ki bahut khubsurat tashreeh ki hai..

acha hai dil ke saath rahe paasbaan-e-aqal
laikin kabhi kabhi isey tanha bhi chod day

pesh-e-nazar hai unka ek khubsurat kalaam isi unwaan per...mujhe yaqeen hai ke ye zauq waalon ki behtreen ghiza hai...jo roshan hona chahte hain unhen andhere pareshaan nahi kar sakte...na rok sakte hain...

Mulahiza fermaayen......



Ilm Ne Mujh Se Kaha Ishq Hai Diwana-Pan 

Ishq Ne Mujh Se Kaha Ilm Hai Takhmeen-o-Zan

(Knowledge said to me, Love is madness; 

Love said to me, Knowledge is calculation) 

Band-e-Takhmeen-o-Zan! Kirm-e-Kitabi Na ban 

Ishq Sarapa Huzoor, Ilm Sarapa Hijab! 

(O slave of calculation, do not be a bookworm! 
Love is Presence entire, Knowledge nothing but a Veil.) 



Ishq Ki Garmi Se Hai Maarka-e-Kainat 

Ilm Maqam-e-Sifat, Ishq Tamasha-e-Zaat 

(The universe is moved by the warmth of Love; 

Knowledge deals with the Attributes, Love is a vision of the Essence;) 
Ishq Sukoon-o-Sabat,Ishq Hayat-o-Mamat 
Ilm Hai Paida Sawal, Ishq Hai Pinhan Jawab! 
(Love is peace and permanence, Love is Life and Death: 

Knowledge is the rising question, Love is the hidden answer.) 
Ishq Ke Hain Maujazat Saltanat-o-Faqr-o-Deen 

Ishq Ke Adna Ghulam Sahib-e-Taj-o-Nageen 
(Kingdom, faith and faqr are all miracles of Love; 
The crowned kings and lords are base slaves of Love;) 
Ishq Makan-o-Makeen, Ishq Zaman-o-Zameen 
Ishq Sarapa Yaqeen, Aur Yaqeen Fatah-e-Bab! 
(Love is the Space and the Creation, Love is Time and Earth! 
Love is conviction entire, and conviction is the key!) 

Shara-e-Mohabbat Mein Hai Ishrat-e-Manzil Haraam 

Shorish-e-Toofan Halal, Lazzat-e-Sahil Haraam 

(The luxury of destination is forbidden in the religion of Love; 

Fighting the storms is permitted, but the comfort of the shore is forbidden;) 

Ishq Pe Bijli Halal, Ishq Pe Hasil Haraam 
Ilm Hai Ibn-Ul-Kitab, Ishq Umm-Ul-Kitab! 

(Lightning is permitted to Love, Harvest is forbidden. 

Knowledge is the child of the Book, Love is the mother of the Book.)