Friday, November 27, 2009

Insha Ibn-e-Insha


He was born on June 15, 1927 as Sher Muhammad Khan in Phillaur tehsil of Jalandhar District, Punjab, India. His father hailed from Rajasthan. He did B.A. from Punjab University in 1946 and M.A. from University of Karachi in 1953. He was associated with various governmental services including Radio Pakistan, Ministry of Culture and National Book Centre of Pakistan. He also served UN for some time and this enabled him to visit a lot of places and was the reason of his subsequent travelogues. Some of the places that he visited includesJapan, Philippines, China, Hong Kong, Thailand, Indonesia, Malaysia, India, Afganistan, Iran, Turkey, France, UK and US. Insha got the mentors like, Habibullah Ghazanfer Amrohvi, Dr.Ghulam Mustafa Khan and Dr. Abdul Qayyum. Insha spent much of his time in Karachi. He died of Hodgkin's Lymphoma on January 11, 1978 in London and was buried in Karachi.

Contribution to literature

He is considered as one of the most versatile poets and writers of his generation. His most famous ghazal Insha Ji Utthoo (Get up Insha Ji, Let's leave from here) is a modern day Classic. His other works include a number of travelogues recorded with a distinguished touch of humour.

Major works

Is Basti Key Ik Koochey Main-Poetry- First edition was published in Aug 1976 and till 2003, 22 more editions have been published

Chand Nagar-Poetry

Dil-e-Wehshi- Poetry

Awara Gard Ki Diary-Travelogue

Dunya Gol Hey-Travelogue

Ibn-e-Batoota Kay Taqub Main-Travelogue

Chaltay Ho To Cheen Ko Chaliye-Travelogue

Nagri Nagri Phira Musafar-Travelogue

Khumar e Gandum-Humor

Urdu Ki Aakhri Kitaab-Humor-

Khat Insha Jee Kay-Collection of letters

=====================================================

collection

-----------------------

Is basti kay ik koochay main, ik Insha naam ka deewana

ik naar pay jaan ko haar gaya, mashhoor hai uska afsana!



Us naar main aisa roop na tha, jis roop say din ki dhoop dabay

is shehar main kia kia goori hai, mehtaab rukhay gulnaar labay

kuch baat thee uski baatoon main, kuch bhaid thay uskay chitwan main

wohi bhaid kay joot jagatay hain , kisi chahnay walay kay mun main

usay apna bananay ki dhun main, howa aap hi aap say baigana

is basti kay ik koochay main, ik Insha naam ka deewana!!



Na chanchal khail jawani kay, na pyaar ki alhar ghatain theen

bas raah main unka milna tha, ya phone pay unki baatain theen

is ishq pay hum bhi hanstay thay, bay-hasil sa bay-hasil tha?

ik rooz biphartay sagar main, na kashti thee na sahil tha

jo baat thee inkay jee main thee, jo bhaid tha yaksar anjana

is basti kay ik koochay main, ik Insha naam ka deewana!



Ik rooz magar barkha rut main, wo bhadoon thee ya sawan tha

deewar pay beech samundar kay, yeh daikhnay waloon nay daikha

mastana haath main haath diyay, yeh aik kagar pay baithay thay

youn shaam hoi phir raat hoi, jab sailani ghar laut gaiy

kia raat thee wo - jee chahta hai us raat pay likhain afsana

is basti kay ik koochay main, ik Insha naam ka deewana,



Haan umr ka saath nibhanay kay thay ehd bohut paimaan bohut

wo jin pay bharosa karnay main kuch sood nahi, nuqsaan bohut

wo naar yeh keh kar duur hoi - majboori sajan majboori

yeh wehshat say ranjoor howay aur ranjoori si ranjoori?

us rooz hamain maloom howa, us shakhs ka mushkil samjhana

is basti kay ik koochay main, ik Insha naam ka deewana!!



Go aag say chati jalti thee, go aankh say darya behta tha

har aik say dukh nahi kehta tha, chup rehta tha ghum sehta tha

nadaan hain wo jo chairtay hain, is aalam main nadanoon ko

us shakhs say aik jawab mila, sab apnoon ko baiganoon ko

kuch aur kaho to sunta hoon - is baab main kuch mat farmana

is basti kay ik koochay main, ik Insha naam ka deewana!



Ab agay ka tehqeeq nahi, go sunnay ko hum suntay thay

us naar ki jo jo baatain theen, us naar kay jo jo qissay thay

ik shaam jo usko bulwaya, kuch samjhaya baicharay nay

us raat yeh qissa paak kiya, kuch kha hi liya dukhyaray nay

kia baat hoi, kis taur hoi? akhbaar say logoon nay jana

is basti kay ik koochay main, ik Insha naam ka deewana.



Har baat ki khooj to theek nahi, tum humko kahani kehnay do

us naar ka naam maqaam hai kia, is baat pay parda rehnay do

hum say bhi to sauda mumkin hai, tum say bhi jafa ho sakti hai

yeh apna bayaan ho sakta hai, yeh apni katha ho sakti hai

wo naar bhi akhir pachtai, kis kaam ka aisa pachtana?

is basti kay ik koochay main, ik Insha naam ka deewna

aur to koi bas na chalega hijr k dard k maron ka
subah ka hona dubhar kar dein rasta rok sitaron ka

jhuthe sikon mein bhi utha dete hain aksar sacha mal
shaklen dekh k sauda karna kam hai in banjaron ka

apni zuban se kuch na kahenge chup hi rahenge ashiq log
tum se to itna ho sakta hai pucho hal becharon ka

ek zara si bat thi jis ka charcha pohuncha gali gali
ham gumnamon ne phir bhi ehsan na mana yaron ka

dard ka khna chikh utho dil ka taqaza waza nibhao
sab kuchh sehna chup chup rahna kam hai izzatdaron ka

dasht parta hai miyan ishq mein ghar se pehle

chal diye uth k su-e-shahar-e-wafa ku-e-habib
puch lena tha kisi khak basar se pehle

ishq pehle bhi kiya hijr ka gam bhi dekha
itne tarpe hain na ghabraye na tarse pehle

ji bahalta hi nahin ab koi saat koi pal
rat dhalti hi nahin char pahar se pehle

ham kisi dar pe na thithak na kahin dastak di
saikaron dar the meri jan tere dar se pehle

chand se ankh mili ji ka ujala jaga
ham ko so bar hui subah sahar se pehle

jog bijog ki baten jhuti sab ji ka bahlana ho
phir bhi ham se jate jate ek gazal sun jana ho

sari duniya aql ki bairi kaun yahan par sayana ho
nahaq nam dharen sab ham ko diwana diwana ho

tum ne to ik rit bana li sun lena sharmana ho
sab ka ek na ek thikana apna kaun thikana ho

nagri ngari lakhon dware har dware par lakh sukhi
lekin jab ham bhul chuk hain daman ka phailana ho

tere ye kya ji main ai khinch liye sharma kar hont
ham ko zahar pilane wali amrit bhi pilwana ho

ham bhi jhute tum bhi jhute ek isi ka sacha nam
jis se dipak jalana sikha parwana mar jana ho

sidhe man ko an daboche mithi baten sundar log
'Meer', 'Nazeer', 'kabir' aur 'Insha' sab ka ek gharana ho

kal chaudhwin ki rat thi shab bhar raha charcha tera
kuch ne kaha ye chand hai kuch ne kaha chehra tera

ham bhi wahin maujud the ham se bhi sab pucha kiye
ham hans diye ham chup rahe manzur tha parda tera

is sheahr mein kis se milen ham se to chuti mahfilen
har shakhs tera nam le har shakhs diwana tera

kuche ko tere chor kar jogi hi ban jayen magar
jangal tere parbat tere basti teri sahra tera

ham aur rasm-e-bandagi ashuftagi uftadagi
ehsan hai kya kya tera ai husn-e-beparwa tera

do ashk jane kis liye palkon pe a kar tik gaye
altaf ki barish teri ikram ka darya tera

ai bedarg-o-beaman ham ne kabhi ki hai fugan
ham ko teri wahshat sahi ham ko sahi sauda tera

tu bewafa tu mahraban ham aur tujh se bad-guman
ham ne to pucha tha zara ye waqt kyun thehra tera

ham par ye sakhti ki nazar ham hain faqir-e-rahguzar
rasta kabhi roka tera daman kabhi thama tera

han han teri surat hasin lekin tu aisa bhi nahin
is shakhs k ashar se shohra hua kya kya tera

beshak usi ka dosh hai kahta nahin khamosh hai
tu ap kar aisi dawa bimar ho acha tera

bedard sunani ho to chal kahta hai kya achhi gazal
ashiq tera ruswa tera shayar tera "Insha" tera

rat k khwab sunayen kis ko rat k khwab suhane the
dhundle dhundle chehre the par sab jane pahahane the

ziddi wahshi alhar chanchal mithe log rasile log
honth un k gazlon k misre ankhon main afsane the

ye larki to in galiyon main roz hi ghuma karti thi
is se un ko milna tha to is k lakh bahane the

ham ko sari rat jagaya jalte bujhte taron ne
ham kyun un k dar pe utre kitne aur thikane the

wahshat ki unwan hamari in main se jo nar bani
dekhenge to log kahenge 'Insha' j\i diiwane the

us sham wo rukhsat ka saman yad rahega
wo shahar wo kucha wo makan yad rahega

wo tis k ubhri thi idhar yad rahegi
wo dard k utha tha yahan yad rahega

ham shauq k shole ki lapak bhul jayenge
wo shama-e-fasurda ka dhuan yad rahega

kuch mir k abyat the kuch faiz k misre
ik dard ka tha jin main bayan yad rahega

jan bakhsh si thi us gulbarg ki tarawat
wo lams-e-aziz-e-do-jahan yad rahega

ham bhul sak hain na tujhe bhul saknge
tu yad rahega hamen han yad rahega

Insha jee bohat deen beet chukay
tum tanha tha, tum tanha hoo
yeah joog bajoog tu theek nahi
yeah roog kissi ka acha ho ?
kabhi poorab mein, kabhi pacham mein
tum purwa ho, tum pachwa hoo?
jo nagri nagri bhatkaye
aya bhi na mun mein kanta ho
kaya aur sabhi choonchal yahaan ?
kaya aik tumhee yahaan dukhiya ho
kaya aik tumhee par dhoop karee
jab sab par sukh ka saya hoo
tum kiss jungal kay phool miyaan
tum kis bagiyaa ka bayla ho ?
tum kis sagar ke lehar bhala
tum kis badal ke barkha ho ?
tum kis ponam ka ujayaara
kis andhee rain ke oosha hoo
tum kin hathoon ke mehandi ho
tum kis mathay ka teeka ho
kiyon shehar taja, kiyon jog liya
kiyon wehshi ho, kiyon ruswa ho
hum jab daikhain behroop naya
hum kaya jannain tum kaya kaya ho ?

jab soraj doobay sanjh bhaye
aur phail raha andhayara ho
kissi saaz ke lay par jhan'an jhan'an
kissi geet ka mukhra jaga hoo
iss taal pay nachain pairoon mein
aik chup chup behtee nadiya hoo
ho charoon koot sughandh basee
jeevan jangal pehna gajra hoo
yeah ambar kay mukh ka anchal ho
iss anchal ka rung ooda ho
ik goot ro'pehlay taroon kee
aur beech sunehra chanda hoo
iss sundar sheetal shaant samay
haan bolo bolo phir kaya ho ?
woh jis ka milna na mumkin
woh mil jaye tu kaisa hoo ?

kiyon aisay sapnay daikhtay hoo
insha jee tum aap bhi sapna ho
ik beetain likhtay shayar hoo
ik geet ugalte beena hoo
yeah battain mein mein woh sochay
jo kaya batlyain kaisa ho ?
woh jiss kay hat mei kismat kee
aik lambee gehree raikha hoo
woh shakhas puranay qisoon kaa
ik mud'mata shehzada hoo
jo shehar ka rasta bhoola ho
aur jungal mein aa nikla hoo
woh raja kaashi nagree ka
woh wali'e bulkh o bukhara ho
kuch uss kay taj pay kalghee ho
kuch uss ka chand sa chehra ho
woh malik mehal ataariyoon ka
woh roppay soonay walla hoo
ya koye anookha gunn walla
woh jiss ka jug mein charcha ho
ya koyee sajeela banjara
jo nagri nagri ghooma hoo

hum nugri nugri ghoomay tu
jab niklay thay awara hoo
woh landon ho, woh paris ho
woh barlun ho, woh roma ho
woh kabul ho, woh lanka ho
woh sahil seen o rayan ho
ya sahit e neel o dajla ho
woh jeen ka daish washaal kaheen
ya pucham dais amrica ho
woh chooti fuji yama kee
ya ulpus ka barpad ooncha ho
woh chattain gulabi laydan ke
ya neela aab janeva ho
din astanbool ke galiyoon mein
ya sab ke sair praha hoo
kuch sourattain theen, kuch mortain theen
kauch aur bhi shaid daikha ho
jahaan nazrain thereen theetki hoon
jahaan dil ka kanta atka hoo
par hum ko tu kuch yaad nahi
kuch khoya ho, kuch paya ho
in batoon mein, in ghatoon mein
sajoog ka koye lamha ho
hum apnay jo khud aap nahee
phir bolo koun humara hoo
youn samjhoo shehar saraye mein
shab bhar kay liyeah koye utra ho
koye pardaisi, koyee saylaani
woh jis ka door thikana ho
shaam aye sawairay koch kiya
jab dhundhla dhundla rasta ho
jab dhartee sooni sooni hoo
jab anbar pheeka pheeka hoo

aik alam tha, kaya alam tha
woh sacha hoo, ya jhoota hoo
hum apnay aap mein doob gaye
khud pathar ban, khud darya hoo
jeevan ghaas ka tinka jungle
jeevan andhi mein koye pata ho
hum kis say kahain, kis toor kahain
koye baat humaree samjha hoo!
hum uss say millain jo apna hoo
hum uss say kahain jo hum sa ho

jab yeah bhi nahi, jab woh bhi nahi
kaya baat banay, kaya rasta hoo
iss zindaan mein koye rozan ho
iss gunbad mein darwaza ho
aye jogi, aye darwaish qavi
kiyon umaar ganwaye ramta ho
kiyn tun pay rakh bhaboot mallay
tu gorakh naat ka cheela hoo
ya porab pucham kuch bhi nahi
yeah joog bajoog bhi dhooka ho
jo tujh say juda sab maya hai
ya apnay ko gar pana ho
kiyon aur pay jee ko rujhata hai
yeah peet ke reet tu phanda ho
jo hara jaan say haar gaya
jo jeeta woh bhi ruswa ho
dhooni na rama, basram na kar
bus alakh jaga kar chalta ho
tu apna reh, tu apna ban
tu insha hai, tu insha ho

sab maya hai , sab dhaltee phirtee chaya hai
iss ishq mein hum nay jo khooya jo paya hai
jo tum nay kaha hai, faiz nay jo farmaya hai
sab maya hai

haan gahay gaahay deed ke doulat haath aye
ya aik woh lazat naam hai jiss ka ruswayee
buss uss kay siwa tu jo bhi sawab kamaya hai
sab maaya hai

ik naam tu baqi rehta hai, gar jaan nahi
jab daikh liya iss sooday mein nuqsaan nahi
tab shama pay dainay jaan patanga aaya hai
sab maaya hai

maloom hmain sab qais miyaan ka qissa bhi
sab aik say hain, yeah ranjha bhi, yeh insha bhi
farhad bhi jo ik nahar se khood kay laya hai
sab maya hai

kiyon dard kay naamay likhtay likhtay raat karoo
jis saat samandar par ke naar ke baat karoo
uss naar say koi aik nay dhoka khaya hai ?
sab maaya hai

jis goori pay hum aik ghazal har shaam likhain
tum jantay hoo - hum kiyonkar uss ka naam likhain
dil uss ke chookhat chom kay wapis aaya hai
sab maaya hai

woh larki bhi jo chaand nagar ke raani thee
woh jiss ke alhaar ankhoon mein hayraani thee
aa uss nay bhi pay'ghaam yeehi bhijwaya hai
saab maya hai

jo loug abhi tuk naam wafa ka laytay hain
woh jaan kay dhokhay khatay, dhokay daitay hain
haan thook baja kay hum nay hukam lagaya hai
sab maaya hai

jab daikh liya har shakhas yahaan harjayee hai
iss shehar say door - aik kutiya hum nay banaye hai
aur uss kutiyaa kay maathay pay likhwaya hai
sab maaya hai

Chand K Tammanaai


phir bhi log deewane
aa gai hain samjhaane
shehr-e dill ki galiyoon main
shaam sey bhataktey hain
chaand k tammanaai
be-qarar sodaai
dill gudaaz tareeki
jaa.n gudaaz tanhaai
roh-o jaan ko dasti hay
roh-o jaan main basti hay
shehr-e dill ki galiyoon main

taak-e shab ki bailoon per
shabnamee.n sarakshoon ki
be-qarar logoo.n nay
be-shumaar logon nay
yaad-gaar chorhi hay
itni baat thori hay?

sad-hazaar baatain theen
heela-e shakaibaai
soratoo.n ki zaibaai
qamatoo.n ki ranaai
in siyaah raatoo.n main
aik bhi na yaad aai
ja-baja bhataktey hain
kis ki raah taktey hain
chaand k tammanaai

ye nagar kabhi pehley
is qadar na weeraan tha
kehne waaley kehtey hain
qayaa-e nigaraan tha
khair apney jeene ka
ye bhi aik samaan tha

aaj dill main weeraani
ab'r ban k ghir aai
aaj dill ko kya kaheye
ba-wafa na harjaai

apni wehshat-e dill k
bun lieye hain afsaaney
khush khayyal duniya nay

garmiyaa.n tu jaati hain
wo rutain bhi aati hain
jab malool raatoon main
dostoo.n ki baatoon main
jee na chain paay ga
aur aoub aay ga
aahatoo.n sey gonjey gi
sheh-e dill ki pehnaai
aur chaand raatoon main
chandni k shaidaai
har bahaane niklain gai
aazmaane niklain gai
aarzo ki gairaai
dhoondh'ne ko ruswaai

sard sard raatoon ko
zard chaand bakhshey ga
be-hisaab tanhaai
be-hijaab tanhaai
shehr-e dill ki galiyoon main

Darwaza Khulla Rakhna

Dil Dard ki Shiddat se Khoo'n Gashta-o-Si Paara
iss shehar mein phirta hai aik Wheshi-o-Aawaara
shair hai keh ashiq hai, joogi hai keh banjara
darwaza khula rakhna

seenay say ghata uthay, ankhoon say jhari barsay
phagan ka nahi badal, joo chaar ghari barsay
barkha hai yeh bhadoon ke, barsay tu bari barsay
darwaza khula rakhna

ankhoon mein tu ik alam, ankhon mein tu duniya hai
hontoon pay magar mohrain, moun say nahi kehta hai
kis cheez ko khoo baitha, kaya dhoondnay nikha hai
darwaza khulla rakhna

haah tham mohabt ke gar thaam sakay doori
sajan hai, taira sajan, aab tujh say kaya choori
yeah jis ke manadi hai, basti mein tairi goori
darwaza khula rakhna

shakoon ko utha rakhna, ankhoon ko bacha rakhna
ik shama dareechay ke chokhat pay jala rakhna
mayoos na phir jaye, haan paas e wafa rakhna
darwaza khula rakhna
darwaza khula rakhna

Phir Wohi Dasht .....

hoo na duniya mein koye hum sa bhi payasa logo
jee mein aati hai kay pee jayain yeh daryaa logo
kitni iss shehar kay sakhiyoon ke suni theen battain
hum jo aye tu kissi nay bhi na poocha logoo
itafaqun'n he sahi, par koiye dar tu khultta
jhilmilaata puss e chilman koyee saaya logo
sab kay sab mast rahay apnay nehaan khanoon mein
koi kuch baat musaafir ke bhi suntta logo

hoon gai iss shehar mein kuch uss ay bhi parhnay wallay
youn tu yeah shakhas bhi mashoor tha khaasa logo
kissi daman, kissi anchal ke hawa tu miltee ?
jab sar e raah yeh wa'manda gira tha logo

aik tasveer the, kaya janiyeah kiss ke tarsveer
naqash e mahoom say aur rung urra sa logo
aik awaaz thi, kaya janiyeah kss kee awaaz
uss nay awaz ka rishta bhi na rakha logoo

kuch pata iss ka hmain ho tu tumhain bat'layain
koun ghar ? koun nagar ? koun mohalla logo
chand harfoon ka mo'amma tha woh uljha suljha
uss nay tu naam bhi poora na bataya logo

haye yeh dard keh mushkal say thama tha dil mein
chaand poonum ka abhi say nikal aya logo

phir wohi dasht, wohi dasht ke tunhai hai
wehshat e dil nay kaheen ka bhi na rakha logo
uss mein himat hai, tu dar aye, utha day yeh hisaar
apnay gunbad mein tu dar hai na dareecha logo
jee ke jee hee mein raheen hasratain tofaanoon ke
yeah safeena tu kinaray pay hee dooba logo

aaj ke daak say kaya koye lafafa aya ?
kaisi sargooshi kartay hoo, aray kaya logo ?
koye payghaam e zubani bhi nahi, kuch bhi nahi
hum nay apnay ko bohat dair sambhala logo

band anhain hoi jaati hain, pisaarain paoon
neend see neend ? humain ab na uthana logo
aik he shab hai, taveel, itni taveel, itni taveel
apnay ayaam mein amrooz na farda logo

aab koye aye tu kehna kay, musafir tu gaya
yeah bhi kehna keh, bhala ab bhi na jata logo
rah tuktay howay pathra see gai theen ankhain
aah bhartay howay chalni howa seena logo
hoont jaltay thai jo layta tha kabhi aap ka naam
iss tarhaan aur kissi ko na saatana logo


farz karo ham ahl-e-wafaa hoN, farz karo diivaane hoN
farz karo ye donoN baateN jhuuTii hoN afsaane hoN

farz karo ye jii kii biptaa jii se joR (?) sunaayii ho
farz karo abhii aur ho itnii aadhi ham ne chhupaayii ho

farz karo tumheN Khush karne ke dhuuNde ham ne bahaane hoN
farz karo ye nain tumhaare sach-much ke maiKhaane hoN

farz karo ye rog ho jhuuTaa jhuuTii peet hamaarii ho
farz karo is peet ke rog meN saaNs bhii ham pe bhaarii ho

farz karo ye jog-bijog kaa hamne Dhong rachaayaa ho
farz karo bas yahii haqiiqat baaqii sab kuch maayaa ho

aur to koii bas na chalegaa hijr ke dard ke maaron kaa
subah kaa honaa duubhar karden rastaa rok sitaaron kaa

jhuuThe sikkon men bhii uThaa dete hain aksar sachchaa maal
shaklen dekh ke saudaa karanaa kaam hai in banjaaron kaa

apanii zubaaN se kuchh na kahenge chhup hii rahenge aashiq log
tum se to itanaa ho sakataa hai puuchho haal bechaaron kaa

ek zaraa sii baat thii jis kaa charchaa pahuNchaa galii galii
ham gumnaamon ne phir bhii ehasaan na maanaa yaaron kaa

dard kaa kahanaa chiiKh uTTha dil kaa taqaazaa vaza'a nibhaao
sab kuchh sahanaa chup chup rahanaa kaam hai izzat_daaron kaa

Ho naa dunya mai koi hum sa bhi pyasa logo
Ji mai aati hay keh pi jain yeh darya logo

Kitni iss sheher kay sakhyun ki suni thein batein
Hum jo aaye tou kisi ne bhi naa pocha logo

Ittifaqun hi sahi per koi der tou khulta
Jhilmilata pas-e-chilman koi saya logo

Sub ke sub mast rahe apne nehan khanon main
Koi kuch baat musafir ki bhi sunta logo

Hongay iss sheher mai kuch iskay bhi parhne wale
Yun tou yeh shakhs bhi mashoor tha khasa logo

Kisi daman kisi aanchal ki hawa tou milti
Jub sar-e-rah yeh damanda gira tha logo

Ek tasveer thi kiya janye kis ki tasveer
Naqsh mohom se aur rang ura sa logo

Ek aawaz thi kiya janye kis ki aawaz
Uss ney aawaz ka rishta bhi na rakha logo

Kuch pata uss ka humain ho tou tumhain batlain
Kaun ghar?kaun nagar?kaun mohallah logo

Chand hurfoon ka moamma tha woh uljha suljha
uss ne tou naam bhi poora na bataya logo

Haye yeh dard ke mushkil se thama tha dil mai
Chand ponam ka abhi se nikal aaya logo

Phir wohi dasht wohi dasht ki tanhai hay
Wehshat-e-dil ne kahin ka bhi na rakha logo

Uss main himmat hay tou der aaye utha de yeh hisar
Apne gunbad mai tou der hay na darecha logo

Ji ki ji hi mai rahein hasratein toofanoo ki
yeh safina tou kinare hi peh dooba logo

Koi paigham zabani bhi nahin kuch bhi nahin
Hum ne apne ko bohat dair sambhala logo

Band aankhain hoi jati hain pisarein paon
Neend si neend?humain abb na uthana logo

Ek hi shab hai taveel,itni taveel,itni taveel
Apne ayaam main amroz na farda logo

Abb koi aaye tou kehna"musafir tou gaya"
Aur yeh bhi kehna keh"bhala abb bhi na jata logo"

Rah taktay hoye pathra gai thein aankhain
Aah bhartay hoye chalni hoa seena logo

Hont jaltay thay jo leta tha kabhi aap ka naam
Iss tarah aur kisi ko naa satana logo........

tum waqi achi larki ho
yah mujh ko achi lagti ho
cherey ki udasi door karo
kiyun ji apna ranjoor karo
woh waadey wafa nibhaney ke
tum bhool gaein mujhay yaad rahe
kiya shaan tumhari ghat jati
jo eafa karne aa jatein??

abb kin batoon main khoi ho
abb kin sochoon main dobi ho?
cherey ko zara uthao tou
aankhain bhi chaar karo dekho
tum hansti achi lagti ho
cherey ki udasi door karo

jub hum ne kaha tha man jao
aur chore ke hum ko mat jao
tum sunti thein chup reti thein
cherey pe liye udasi si
tum bekal bekal rehti thein
jub hum ne kaha tha ghum choro
ghum chore dil ki baat kaho
tum hansti achi lagti ho
cherey ki udasi door karo

woh khat jo tumhara aaya tha
woh khat tha yah afsana tha
ger peet hamari chaye thi
jholi ko zara pehlana tha

haan eid tou aati rehti hai
per deed tou baqi rehti hai
ger eid per tum hi aa jatein
aur deed tumhari ho jati

woh baat tou aani jaani thi
per ban gai kahani si
abb uss ka qissa pak karo
tum hansti achi lagti ho
cherey ki udasi door karo

Hum ghoom chuke basti ban main
ik aas ki phans leye man main
koi sajan ho, koi piyara ho
koi depak ho, koi tara ho
jab jewan raat undhairi ho

IK BAAR KAHO TUM MERI HO

jab sawan badal chaay hoon
jab phagan phool khilaay hoon
jab chanda roop lutata ho
jab soraj dhoop nahata ho
ya shaam nay basti ghairi ho

IK BAAR KAHO TUM MERI HO

haan dill ka daman phaila hay
kyu gori ka dill maila hay
hum kab tak peet k dhoke main
tum kab tak door jharoke main
kab deed sey dill ko sairi ho

IK BAAR KAHO TUM MERI HO

kiya jhagra sood khasare ka
ye kaaj nahi banjaare ka
sab sona roopa lay jaay
sab duniya, duniya lay jaay
tum aik mujhe bohteri ho

IK BAAR KAHO TUM MERI HO