Friday, September 17, 2010

Khwaja Mir Dard



Khwaja Mir Dard was born in 1721 and died in 1785. He is one of the three major poets of the Delhi School—the other two being Mir Taqi Mir and 'Sauda'—who could be called the pillars of the classical Urdu ghazal.

Dard was first and foremost a mystic, a prominent member of the Naqshbandi Mujaddidi order, and the head of the Muhammadi path (tariqah muhammadiyah, a Mujaddidi offshoot) in Delhi. He regarded the phenomenal world as a veil of the eternal Reality, and this life as a term of exile from our real home. Dard inherited his mystical temperament from his father,Khwaja Muhammad Nasir Andalib, who was a mystic saint and a poet, and the founder of the Muhammadi path.

Dard received his education in an informal way at home, and in the company of the learned, acquiring in due course a command of Arabic and Persian, as also of Sufi lore. He also developed a deep love of music, possibly, through his association with singers and qawaals who frequented his father's house. He renounced earthly pleasures at the young age of 28, and led a life of piety and humility.

The secret of Dard's appeal as a poet lies not in his mysticism, but in his ability to transmute this mysticism into poetry, and to present transcendental love in terms of human and earthly love. Although he has written ghazals which are unambiguously mystical in their intent, his best couplets can be read at both the secular and spiritual levels, and are, for this reason, acceptable to all and sundry. In addition, Dard had also written ghazals which deal with a patently sensuous and earthly love, and deserve to be classed with the best poetry of this kind. Dard generally excels in short ghazals of about seven to nine verses, written in comparatively short measures. His style is simple, natural and musical; his content, thoughtful and thought-provoking. His poetry includes a collection of Urdu ghazals and a divan in Persian.
Dard's Persian prose works are extensive, consisting of the Ilm ul Kitab, a 600+ page metaphysical work on the philosophy of the Muhammadi path, and the Chahar Risalat, collections of more than a thousand mystical aphorisms and sayings.

doston dekha tamasha yahan ka bas.
tum raho ab hum to apne ghar chale
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------


Mera jee hai jab tak, teri justaju hai,
Zabaan jab talak hai, yahi aarzoo hai.

Tamanna teri hai, agar hai tamanna,
Teri aarzoo hai, agar aarzoo hai.

Kiya sair sab hum gulzaar-e-duniya,
Gul-e-dosti main ajab rang-o-boo hai.

Nazar mere dil ki padi ‘dard’, kis par,
Jidhar dekhta hoon, wahi ru-ba-ru hai.

-Hazrat Khwaja Meer ‘Dard’

tohmaten chand apne zimme dhar chale
jis liye aye the so ham kar chale
zindagi hai ya koi tufan hai
ham to is jine ke hathon mar chale
kya hamain kam is gulon se ai saba
ek dam aye idhar udhar chale
dosto dekha tamasha yan ka sab
tum raho khush ham to apne ghar chale
ah bas ji mat jala tab janiye
jab koi afsun tera us par chale
shama ki manind ham is bazm main
chashm-nam aye the daman-tar chale
dhundte hain ap se usko pare
sheikh sahib chor ghar bahar chale
ham jahan main aye the tanhawale
sath apne ab use lekar chale
jun sharar ai hasti-e-bebud yan
bare ham bhi apni
bari bhar chale
ek main dil resh hun waisa hi dost
zakhm kitnon ka suna hai bhar chale
ham na jane paye bahar ap se
wo bhi are a
gaya jidhar chale
saqiya yan lag raha hai chal chalo
jab talak bas chal sake sagar chale
"Dard" kuch malum hai ye log sab
kis taraf se aye the kidhar chale
--------------------------------------------------------------------------------------------------
tujhi ko jo yan jalwa farma na dekha
barabar hai duniya ko dekha na dekha
mera guncha-e-dil hai woh dil-girifta
k jis ko kaso ne kabhi wa na dekha
aziat, musibat, malamat, balayen
tere ishq main ham ne kya kya na dekha
kiya mujh ko dagon sarw-e-chiragan
kabho tu ne akar tamasha na dekha
tagaful ne tere ye kuch din dikhaye
idhar tu ne lekin na dekha, na dekha
hijab-e-rukh-e-yar the ap hi ham
khuli ankh jab, koi parda na dekha
shab-o-roz aye "Dard" darapai hun us ke
kaso ne jise yan samjha na dekha

tum aj hanste ho hans lo mujh par ye aazmaish na bar bar hogi
main janta hun mujhe khabar hai k kal faza khushgawar hogi
raah-e- muhabbat main zindagi bhar rahegi ye kashamakash barabar
na tumko qurbat main jit hogi na mujhko furqat main haar hogi
hazar ulfat sataye lekin mere iradon se hai ye mumkin
agar sharafat ko tumne chera to zindagi tum pe waar hogi


Masjid to bana di shab bhar mai.... By Allama Iqbal


*Tarana-e-Hind**
Saare Jaahaan Se Achchha_Hindustan Hamaara
Hum Bulbulein Hain Isski_Ye Gulistan Hamaara
Ghurbat Mein Ho Agar Hum_Rehta Hai Dil Watan Mein
Samjhon Wahiin Hamein Bhi_Dil Ho Jahaa Hamaara
Parbat Woh Sab Se Uncha_Hamsaaya Aasmaan Ka
Woh Santary Hamaara_Woh Paasbaan Hamaara
Godi Mein Khilti Hain Isski Hazaaron Naddian
Gulshan Hai Jinke Dam Se Rashk-e-Janaan Hamaara
Aye Aab-e-Rod-e-Ganga_Woh Din Hain Yaad Tujhko
Utra Tere Kinaare Jab Caarvan Hamaara
Mazhab Nahin Sikhaata Aapas Mein Beir Rakhna
Hindi Hain Hum_Watan Hai Hindustan Hamaara
Unaan-o-Misr-o-Roma Sab Mit Gaye Jahaan Se
Ab Tak Magar Hai Baaqi Naam-o-Nishaan Hamaara
Kuchh Baat Hai Ke Hasti Mit-ti Nahin Hamaari
Sadion Raha Hai Dushman Daur-e-Zamaan Hamaara
“Iqbal”, Koi Mahram Aapna Nahin Jahaan Mein
Maalum Kya Kisi Ko Dard-e-Nihaan Hamaara**

kabhii aye haqiiqat-e muntazir nazar aa libaas-e majaaz meN
kih hazaaroN sijde tadap rahe haiN mirii jabiin-e niyaaz meN
tuu bachaa bachaa ke nah rakh use tiraa aainah hai vuh aainah
kih shikastah ho to aziiz-tar hai nigaah-e aainah-saaz meN
dam-e-tauf kirmak-e shama ne yih kahaa kih vuh a;sar-e kuhan
nah tirii hikaayat-e-soz meN nah mirii hadii;s-e gudaaz meN
nah kahiiN jahaaN meN amaaN milii jo amaaN milii to kahaaN milii
mire jurm-e-aanah-araab ko tire afv-e -bandah-navaaz meN
nah vuh ishq meN rahiiN garmiyaaN nah vuh husn meN rahiiN shokiyaaN
nah vuh Gaznavii meN taRap rahii nah vuh kham hai zulf-e-ayaaz meN
jo maiN sar basijdah huaa kabhii to zamiiN se aane lagii sadaa
teraa dil to hai sanam-aashnaa tujhe kyaa milegaa namaaz meN


Masjid to bana di shab bhar mai....

Masjid to bana di shab bhar mai imaan ki hararat walon ne
Mun apna purana papi hai, berson mai namazi ban na saka


Kia khoob Ameer-e-faisal ko sunwasi ne pegham diya
Tu naam-o-nasab ka hijazi hai ,per dil ka hijazi ban na saka


Ter aankhein to ho jatin hain,per kia lazzat us ronay mai
Jab khoon-e-jigar ki aamezish se ask piyazi ban na saka


Iqbal bara updeshak hai mun baaton mai moh leta hai
Guftaar ka ye ghazi to bana , kirdaar ka ghazi ban na saka

BY:Allama Mohammad Iqbal


Tuesday, September 14, 2010

Wednesday, May 5, 2010

Aaina-Saaz Ke Saaz ------------Shayer Ameer Minaii


Ameer Minai, an Urdu poet of eminence was born in 1826 at Lucknow and died in 1900 at Hyderabad. A popular poet both with the people and the aristocracy, he was held in high esteem by his contemporary poets like Ghalib and Daagh Dehalvi.

Name :Amir Ahmad Meenai
Period :1828 - 1900
Biographical detail :One of the most prominent poets of Urdu

Amir Meenai’s diction is as immaculate as is characteristics of Lucknow poets to the extent that even Ghalib eulogised him. Now a new edition of Meenai’s first diwan titled ‘Miratul Ghaib’ has made it possible for the new generation of Urdu poetry readers to study Amir Meenai’s poetry.

In time Meenai emerged as a highly gifted poet of delicate sensibility. One of his poems ‘Kabutar Nama’ impressed Wajid Ali Shah. After the annexation of Oudh by East India Company, Amir Meenai had to move to Rampur amidst a large number of Lucknow poets over there.

It was during Meenai’s Rampur sojourn and subsequently his stay in Hyderabad Deccan that his poetry gained popularity – a phenomenon that saw the whole of the subcontinent’s poets appear as divided into Amir Meenai and Dagh Dehalvi camps of followers.

Amir Meenai is credited with 14 collections of poetry including ‘Diwan-e-Naatia Kalam’ and ‘Sanam Khana-e-Ishq’. Seven of his collections of different genres of poetry are still lying unpublished apart from volumes of ‘Amir-ul-Lughat’ a unique work of lexicography.

Being a Sufi poet – having ishq (love) as his central theme – his collection ‘Mahamid-e-Khatim-ul-Nabian’ has immortalised Meenai in his genre of poetry.

Amir Ahmad Meenai was born in Lucknow. He was drawn to poetry and became a disciple of Syed Muzaffar Ali Asir, who was private secretary of Nawab Wajid Ali Shah and himself an eminent poet of his times.

------------------------------------------------------------------


bandaa navaaziyon pe Khudaa-e-kariim thaa
karataa na main gunaah to gunaah-e-aziim thaa

baaten bhii kii Khudaa ne dikhaya jamaal bhii
vallaah kya nasiib janaab-e-kaliim thaa

duniya kaa haal ahal-e-adam hai ye muKhtasar
ik do qadam kaa kuuchaa-e-ummid-o-biim thaa

karata main dardmand tabiibon se kyaa rajuu
jis ne diya tha dard baDa vo hakiim thaa

samaaN-e-ufu kyaa main kahuN muKhtasar hai ye
bandaa gunaahgaar thaa Khaaliq kariim thaa

jis din se main chaman men huaa Khvaah-e-gul 'Ameer'
naam-e-sabaa kahiin na nishaan-e-nasiim thaa

jab se bul-bul tuu ne do tinake liye
TuuTatii hai bijaliyaaN in ke liye

hai javaanii Khud javaanii kaa sinGaar
saadagii gahanaa hai us sinn ke liye

kaun viiraane men dekhegaa bahaar
phuul jangal men khile kin ke liye

saarii duniya ke hain vo mere sivaa
main ne duniyaa chhoD dii jin ke liye

baaGabaaN kaliyaaN hon halke rang kii
bhejanii hain ek kamasin ke liye

sab hasiin hain zaahidon ko naapasand
ab ko_ii huur aayegii in ke liye

vasl kaa din aur itanaa muKhtasar
din gine jaate the is din ke liye

sarakatii jaaye hai ruKh se naqaab aahistaa-aahistaa
nikalataa aa rahaa hai aaftaab aahistaa-aahistaa

javaaN hone lage jab vo to ham se kar liyaa pardaa
hayaa yak_laKht aa_ii aur shabaab aahistaa-aahistaa

shab-e-furkat kaa jaagaa huu.N farishton ab to sone do
kabhii fursat me.n kar lenaa hisaab aahistaa-aahistaa

savaal-e-vasl par un ko uduu kaa Khauf hai itanaa
dabe honThon se dete hain javaab aahistaa aahistaa

hamaare aur tumhaare pyar men bas farq hai itanaa
idhar to jaldii jaldii hai udhar aahistaa aahistaa

vo bedardii se sar kaaTe 'Ameer' aur main kahuuN un se
huzuur aahistaa-aahistaa janaab aahistaa-aahistaa

achchhe isaa ho mariizon kaa Khayaal achchhaa hai
ham mare jaate hain tum kahate ho haal achchhaa hai

tujh se maaNguuN main tujhii ko ki sab kuchh mil jaaye
sau savaalon se yahii ek savaal achchhaa hai

dekh le bulbul-o-paravaanaa kii betaabii ko
hijr achchhaa na hasiinon kaa visaal achchhaa hai

aa gayaa us kaa tasavvur to pukaaraa ye shauq
dil men jam jaaye ilaahii ye Khayaal achchhaa hai

us kii hasarat hai jise dil se miTaa bhii na sakuuN
DhuuNDhane us ko chalaa huuN jise paa bhii na sakuuN

Daal kar Khaak mere Khuun pe qaatil ne kahaa
kuchh yeh mehandii nahiin merii ke miTaa bhii na sakuuN

zabt kambaKht ne aur aa ke galaa ghoNTaa hai
ke use haal sunaauuN to sunaa bhii na sakuuN

us ke pahaluu men jo lejaa ke sulaa duu.N dil ko
niind aisii use aaye ke jagaa bhii na sakuuN

naqsh-e-paa dekh to luuN laakh karuuNgaa sajade
sar meraa arsh nahiin hai ki jhukaa bhii na sakuuN

bevafaa likhate hain vo apanii kalam se mujh ko
ye vo qismat kaa likhaa hai jo miTaa bhii na sakuuN

is tarah soye hain sar rakh ke mere zaanon par
apanii soii huii qismat ko jagaa bhii na sakuuN

tund mai aur aise kamsin ke liye
saaqiyaa halkii sii laa in ke liye


mujh se ruKhsat ho meraa ahad-e-shabaab

yaa Khudaa rakhanaa naa us din ke liye


hai javaanii Khud javaanii kaa singaar

saadagii gahanaa hai is sin ke liye


sab hasiin hain zaahidon ko naapasand

ab koii huur aayegii in ke liye


vasl kaa din aur itanaa muKhtasar

din gine jaate the is din ke liye


saarii duniyaa ke hain vo mere sivaa

mai.n ne duniyaa chhoD dii jin ke liye


laash par ibarat ye kahatii hai 'Ameer'

aaye the duniyaa men is din ke liye

-----------------------------------------------------------------------------------------------------------------

kah rahii hai hashr men vo aaNkh sharmaaii huii
haaye kaise is bharii mahafil men rusvaaii huii

aaiine men har adaa ko dekh kar kahate hain vo
aaj dekhaa chaahiye kis kis kii hai aa_ii hu_ii

kah to ai gulchiin asiiraan-e-qafas ke vaaste
toD luuN do chaar kaliyaaN main bhii murjhaaii huii

main to raaz-e-dil chhupaauuN par chhipaa rahane bhii de
jaan kii dushman ye zaalim aaNkh lalchaaii huii

Gamzaa-o-naaz-o-adaa sab men hai hayaa kaa lagaao
haaye re bachapan kii shoKhii bhii hai sharmaaii huii

vasl men Khaalii huii raqiibon se mahafil to kyaa
sharm bhii jaaye to jaanuuN ke tanhaaii huii

gard uDii aashiq kii turbat se to jhunjhalaa ke kahaa
vaah sar chaDhane lagii paaNv kii Thukaraaii huii

jhonkaa idhar na aaye nasiim-e-bahaar kaa
naazuk bahut hai phuul charaaG-e-mazaar kaa


phir baiThe baiThe vaadaa-e-vasl us ne kar liyaa

phir uTh khaDaa huaa vahii rog intazaar kaa


shaaKhon se barg-e-gul nahiin jhaDate hain baaG men

zevar utaar rahaa hai uruus-e-bahaar kaa


har gul se laalaazaar men ye puuchhataa huuN main

tuu hii pataa bataade dil-e-daaG_daar kaa


is pyaar se fishaar diyaa gor-e-tang ne

yaad aa gayaa mazaa mujhe aaGosh-e-yaar kaa


hilatii nahiin havaa se chaman men ye DaaliyaaN

muuNh chuumate hain phuul uruus-e-bahaar kaa


uThataa hai naazaa men vo sarahaane se ai 'Ameer'

miTataa hai aasaraa dil-e-ummiid_vaar kaa

-----------------------------------------------------------------------------------------------------------------

ishq men jaaN se guzarate hain guzarne vaale
maut kii raah nahiin dekhte marne vaale

aaKhirii vaqt bhii pura na kiyaa vaada-e-vasl
aap aate hii rahe mar gaye marne vaale

uThe aur kuucha-e-mahabub men pahuNche aashiq
ye musaafir nahiin raaste men Thaharne vaale

jaan dene ka kaha main ne to haNs kar bole
tum salaamat raho har roz ke marne vaale
aasmaaN pe jo sitaare nazar aaye 'Ameer'
yaad aaye mujhe daaG apane ubharane vale

-----------------------------------------------------------------------------------------------------------------

haNs ke faramaate hain vo dekh kar haalat merii
kyon tum aasaaN samajhate the muhabbat merii

baad marane ke bhii chhoDii na rafaaqat merii
merii turbat se lagii baiThii hai hasarat merii

main ne aaGosh-e-tasavvur me.n bhii khenchaa to kahaa
pis gaii pis gaii bedard nazaakat merii

aaiinaa subah-e-shab-e-vasl jo dekhaa to kahaa
dekh zaalim ye thii shaam ko suurat merii

yaar pahaluu men hai tanhaaii hai kah do nikale
aaj kyon dil men chhupii baiThii hai hasarat merii

husn aur ishq ham_aaGosh nazar aa jaate
terii tasviir men khinch jaatii jo hairat merii

kis DhiTaa_ii se vo dil chhiin ke kahate hain 'Ameer'
vo meraa ghar hai rahe jis men muhabbat merii