Friday, September 17, 2010

Masjid to bana di shab bhar mai.... By Allama Iqbal


*Tarana-e-Hind**
Saare Jaahaan Se Achchha_Hindustan Hamaara
Hum Bulbulein Hain Isski_Ye Gulistan Hamaara
Ghurbat Mein Ho Agar Hum_Rehta Hai Dil Watan Mein
Samjhon Wahiin Hamein Bhi_Dil Ho Jahaa Hamaara
Parbat Woh Sab Se Uncha_Hamsaaya Aasmaan Ka
Woh Santary Hamaara_Woh Paasbaan Hamaara
Godi Mein Khilti Hain Isski Hazaaron Naddian
Gulshan Hai Jinke Dam Se Rashk-e-Janaan Hamaara
Aye Aab-e-Rod-e-Ganga_Woh Din Hain Yaad Tujhko
Utra Tere Kinaare Jab Caarvan Hamaara
Mazhab Nahin Sikhaata Aapas Mein Beir Rakhna
Hindi Hain Hum_Watan Hai Hindustan Hamaara
Unaan-o-Misr-o-Roma Sab Mit Gaye Jahaan Se
Ab Tak Magar Hai Baaqi Naam-o-Nishaan Hamaara
Kuchh Baat Hai Ke Hasti Mit-ti Nahin Hamaari
Sadion Raha Hai Dushman Daur-e-Zamaan Hamaara
“Iqbal”, Koi Mahram Aapna Nahin Jahaan Mein
Maalum Kya Kisi Ko Dard-e-Nihaan Hamaara**

kabhii aye haqiiqat-e muntazir nazar aa libaas-e majaaz meN
kih hazaaroN sijde tadap rahe haiN mirii jabiin-e niyaaz meN
tuu bachaa bachaa ke nah rakh use tiraa aainah hai vuh aainah
kih shikastah ho to aziiz-tar hai nigaah-e aainah-saaz meN
dam-e-tauf kirmak-e shama ne yih kahaa kih vuh a;sar-e kuhan
nah tirii hikaayat-e-soz meN nah mirii hadii;s-e gudaaz meN
nah kahiiN jahaaN meN amaaN milii jo amaaN milii to kahaaN milii
mire jurm-e-aanah-araab ko tire afv-e -bandah-navaaz meN
nah vuh ishq meN rahiiN garmiyaaN nah vuh husn meN rahiiN shokiyaaN
nah vuh Gaznavii meN taRap rahii nah vuh kham hai zulf-e-ayaaz meN
jo maiN sar basijdah huaa kabhii to zamiiN se aane lagii sadaa
teraa dil to hai sanam-aashnaa tujhe kyaa milegaa namaaz meN


Masjid to bana di shab bhar mai....

Masjid to bana di shab bhar mai imaan ki hararat walon ne
Mun apna purana papi hai, berson mai namazi ban na saka


Kia khoob Ameer-e-faisal ko sunwasi ne pegham diya
Tu naam-o-nasab ka hijazi hai ,per dil ka hijazi ban na saka


Ter aankhein to ho jatin hain,per kia lazzat us ronay mai
Jab khoon-e-jigar ki aamezish se ask piyazi ban na saka


Iqbal bara updeshak hai mun baaton mai moh leta hai
Guftaar ka ye ghazi to bana , kirdaar ka ghazi ban na saka

BY:Allama Mohammad Iqbal