Monday, February 9, 2009

Arz-e-niyaaz-e-ishq ke qaabil nahin raha


arz-e-niyaaz-e-ishq  ke qaabil nahin raha 
jis dil pe naaz thaa mujhe vo dil nahin raha 
 
jaata  hun daaG-e-hasarat-e-hasti liye hue 
hun shamma-e-kushta darKhur-e-mahafil nahin raha 
 
marne ki aye dil aur hi tadbir kar ki main 
shaayan-e-dast-o-bazuu-e-qaatil nahiin raha 
 
ba-ruu-e-shash jihat dar-e-aaiinaa-baaz hai 
yaan imtiaaz-e-naakis-o-kaamil nahiin raha 
 
vaa kar diye hain shauq ne band-e-naqaab-e-husn 
Gair az nigaah ab koii haayel nahiin raha 
 
go main rahaa rahiin-e-sitam haaye rozgaar 
lekin tere Khayaal se Gaafil nahiin raha 
 
dil se havaa-e-kisht-e-vafaa mit ke vaan 
haasil sivaaye hasrat-e-haasil nahiin raha 
 
bedaad-e-ishq se nahiin darta magar'Asad' 
jis dil pe naaz tha mujhe vo dil nahiin raha