Monday, February 2, 2009

Mohabbat Tark Kii Main Ne


mohabbat tark kii main ne garebaan sii liyaa main ne
zamaane ab to Khush ho zahar ye bhii pii liyaa main ne

abhii zindaa huun lekin sochtaa rahtaa huun khalvat men
ki ab tak kis tamannaa ke sahaare jii liyaa main ne

unhen apnaa nahiin sakataa magar itnaa bhii kyaa kam hai
ki kuch muddat hasiin khvaabon men kho kar jii liyaa main ne

bas ab to daaman-e-dil chod do bekaar ummiido
bahut dukh sah liye main ne bahut din jii liyaa main ne