Wednesday, February 25, 2009

Mohsin Naqwi



Mai chup raha keh zeher yehi mujh ko raas tha

Wo sang-e-lafz phaink kar kitna udaas tha

Aksar meri qaba pay hansi aa gai jissay
Kal mill gaya toh wo bhi dareeda libaas tha

Mai dhoondhta tha door khalaaon mai ek jism
Chehron ka ek hajoom meray aas paas tha

Tum khush they patharon ko khuda jaan kar magar
Mujh ko yaqeen hai wo tumhaara qayaas tha

Bakhsha hai jis nay rooh ko zakhmon ka perahan
*Mohsin* wo shakhs kitna tabiyat shanaas tha



Tazeer-e-ehtimaam-e-chaman kaun day gaya
Mujh ko gulaab jaisa kafan kaun day gaya

Daikhay jo khad-o-khaal toh socha hai baareha
Sehra ki chaandini ko badan kaun day gaya

Meri jabeen ki saari lakeerain teri atta
Lekin teri qaba ko shikan kaun day gaya

Teray hunar mai khulqat-e-khushboo sahi magar
Kaanton ko umer bhar ki chubhan kaun day gaya

Jungle say poochti hain hawaaon ki barhami
Jugnoo ki tairgi mai kiran kaun day gaya

Kis nay basaaye aankh mai ashkon kay qaaflay
Be-ghar musaafiron ko watan kaun day gaya

Tujh say toh khair pall ki musaafit ka saath tha
Meray badan ko itni thakan kaun day gaya

Todha hai kis nay nok-e-sinaan par sakoot-e-sabr
Lab bastagi ko taab-e-sukhan kaun day gaya

*Mohsin* wo kaayinaat-e-ghazal hai ussay bhi daikh
Mujh say na pooch mujh ko yeh funn kaun day gaya



Wafa mein Aab yeah hunar Ikhtiyaar karna hai..
Woh sach kahay na kahay aaitbaar karna hai..

Yeah tujh ko jaagtay rehnay ka shouq kab say howa ?
Mujhay tu khair taira intazaaar karna hai

Hawa ke zad mein jalanay hain ansoon kay chiraagh
Kabhi yeah jashan sar rah'guzaar karna hai

woh muskura kay naye waswasoon mein daal gaya
Khayaal tha eh ussay sharamsaar karna hai

Misaal e shaakh e barhana khizan ke rut mein kabhi
Khud apnay jisam ko bay barg o baar karna hai

tairay firaaq mein din kiss tarhaan kattain apnay
Keh shughal e shab tu sitaray shumaar karna hai

Chaloo yeah ashak hee moti samajh kay baich ayain
Kissi tarhaan tu humain rooz'gaar karna hai

Kabhi tu dil mein chupay zakham bhi numayaan hoon
Qaba samajh kay badan taar taar karna hai

Khda khabar yeah koi zid keh shouq hai mohsin
Khud Apni jaan kay dushman say payaar karna hai



SAFAR TANHA NAHIN KARTE,
SUNO! AISA NAHIN KARTE,
JISSA SHAFAF RAKHNA HO,
USSAY MAILA NAHIN KARTE,
TERI ANKHAIN IJAZAT DE,
TO HUM KIA KIA NAHIN KARTE,
BOHAT UJRAY HOAY GHAR PAR,
SAFAR JISKA MUQADAR HO,
USSAY ROKA NAHIN KARTE,
JO MIL KAR KHUD SE KHO JAYE,
USSAY RUSWA NAHIN KARTE,
CHALO TUM RAZ HO APNA,
TUMAHIN AFSHAN NAHIN KARTE,
YEH UNCHAY PAIR KAISE HAIN,
KAHIN SAYA NAHIN KARTE,
JO DHUN HO, KAR GUZARNE KI,
TO PHIR SOOCHA NAHIN KARTE,
KABHI HANSNE SE DARTE HAIN,
KABHI ROYA NAHIN KARTE,
SIHAR SE POOCH LO MOHSIN,
KE HUM SOYA NAHIN KARTE....



Mere Naam Se Pehle...


abh ke us ki ankhon mien
besabab udaasi thi
abh ke us ke chehray per
dukh tha...behawasi thi

abh ke yun mila mujh se
yun ghazal suni...jese
mein bhi na_shanasa hoon
wo bhi ajnabi jesse

zard khaal o khad uss ke
sogawar daman tha
abh ke uss ke lahjay mein
kitna khudra pan tha

wo ke umer bhar jis ne
shahr bhar ke loogon mien
mujh ko hum sukhan jana
khud se mehrban samjha
mujh ko "Dilruba" likha

abh ke sada kaghaz per
surkh roshnai se
us ne talkh lahjay mein
mere naam se pehle!
sirf "Bewafa" likha



Kab tulak shab kay andhairay mein sehar ko tarsay
Woh musafir jo bharay shehar mein ghar ko tarsay

Aankh thehray howay paani say bhi katraati hai
Dil woh reh'roo keh samandar kay safar ko tarsay

Mujh ko uss qehat kay mosam say bacha rub e sukhan
Jab koi ehal e hunar, arz e hunar o tarsay

aab kay iss toor musalat howa andhaira har soo
Hijar ke raat mairay deeda e tar ko tarsay

Umar itni tu ataa kar mairay fun ko khaliq...
Maira dushman mairay marnay ke khabar ko tarsay

Uss ko paa kar bhi ussay dhoond rahi hain ankhain
Jaisay paani mein koie seep gohar ko tarsay

na'shana'saye kay mousam ka asar tu daikho!
Aaina khaal o khad e aania gar ko tarsay

Aik dunia hai kay basti hai tairi ankhoon mein
Woh tu hum thay jo tairi ik nazar ko tarsay

Shoor e sur'sar mein jo sar sabaz rahi hai mohsin
Mousam e gul mein wohi shaakh samar ko tarsay



Kabhi jo cheirr gaee yaad-e-raftgaaN Mohsin
Bikhar gaee hain nigaahein kahaaN kahaaN Mohsin

Hawa ne raakh urraai to dil ko yaad aaya
K jal bujheeN mere khwabon ki bastiyaaN Mohsin

Kuch aaise ghar bhi miley jin mein ghoogatton k iwaz
Hui hain dafn dopatton mein larrkiyaaN Mohsin

Khandar hai ehd-e-guzishta na chhu na chheirr isey
Khulein to band na hon is ki khirrkiyaaN Mohsin

Bujha hai kaun sitaara k apni aankh k saath
Huey hain saare manaazir dhuaaN dhuaaN Mohsin

Nahi k us ne ganwaaye hain maah o saal apne
Tamaam umr katti yoon bhi raaegaaN Mohsin

Mila to aur bhi taqseem kar gaya mujh ko
Sameittna theeN jisey meri kirchiyaaN Mohsin

Kahin se us ne bhi torra hai khud se rabt-e-wafa
Kahin se bhool gaya main bhi daastaaN Mohsin

" Mera Noha Inhi Galiyon Ki Hawa Likhe Gi "


------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Main k is shehr ka seemaab-sifat shaayar hoon
Meri takhleeq mere fikr ki pehchaan bhi hai

Mere harfoN, mere lafzoN mein hai chehra mera
Mera fan ab mera mazhab, mera eemaan bhi hai

Meer o Ghalib na sahi phir bhi ghaneemat jaano
Mere yaaroN k sarhaane mera deewaan bhi hai

Mujhse poocho k shikast-e-dil o jaaN se pehle
Mere ehsaas pe guzri hai qayaamat kya kya

Saaya-e-daar o shab-e-gham ki sakhaawat se alag
Main ne sochi qad o geisu ki alaamat kya kya

Mere toote huey khwaboN k kharaaboN se pare
Mere bikhre huey jazbe they salaamat kya kya


-----------------------------------------------------------------------------------------------------------------


Tanz-e-aghyaar se ehbaab k ikhlaas talak
Main ne har ne'mat-e-uzma ka libaada pehna

Dast-e-qaatil ki kashish aap gawaahi de gi
Main ne har zakhm qaba se bhi zyaada pehna

Meri aankhoN mein kharaashein theeN dhanak ki lekin
Meri tasveer ne malboos to saada pehna


--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------

Zarbat-e-sang-e-malaamat mere seene pe saji
Tamgha-e-jurrat o ezaaz-e-hukoomat ki tarha

Khul k barsi meri sochon pe adaawat ki ghata
AasmaanoN se utarti hui daulat ki tarha

Qarya qarya hui ruswa mere fan ki chaahat
Kone kone mein bikharti hui shohrat ki tarha


------------------------------------------------------------------------------------------------------------------

Mujh pe karrki hain kamaanein mere gham-khwaroN ki
Mere ashkon ka tamaasha sar-e-baazaar hua

Mere aangan mein hawaadis ki sawaari utri
Mera dil wajh-e-azaab-e-dar o deewaar hua

Ishq mein izzat-e-saadaat bhula kar aksar
Meer saahab ki tarha main bhi gunahgaar hua

Apni ujrri hui aankhon se shuaayen le kar
Main ne bujhti hui sochon ko jawaani di hai

Apni ghazlon k sukhan-taab sitaare chun kar
SangreizoN ko bhi aashufta-bayaani di hai

Husn-e-khaak-e-rah-e-yaaraaN se mohabbat kar k
Main ne har morr ko ik taaza kahaani di hai

Mujhse roothe hain mere apne qabeele waale
Mere seene mein har ik teer-e-sitam toota hai

Lafz o ma'ni k taqaazoN se ulajh kar aksar
Mere haathon mera majrooh qalam toota hai

Karb-e-na-qadri-e-yaaraaN k bhanvar mein ghir kar
Baar-ha dil ki tarha shauq ka dam toota hai

Main k is shehr ka seemaab-sifat shaayar hoon
Main ne is shehr ki chaahat se sharf paaya hai

Mere a'ada ka ghazab abr-e-karam hai mujh ko
Mere ehbaab ki nafrat mera sarmaaya hai

Meri bikhri hui ruswaai hai shohrat meri
Mere sehra ki tamaazat mera sarmaaya hai

Mutma'in hoon k mujhe yaad rakhe gi dunia
Jab bhi is shehr ki tareekh-e-wafa likhe gi

Mere ghar k dar o deewaar mujhe sochein ge
Wus'at-e-dasht mujhe aabla-pa likhe gi

Mera maatam isi chup chaap fiza mein hoga
Mera noha inhi galiyoN ki hawa likhe gi...



Qatl chhupte they kabhi sang ki diwaar k beech
Ab to khulne lage maqtal bhare bazaar k beech

Apni poshaak k chhin jaane pe afsos na kar
Sar salaamat nahi rehte yahan dastaar k beech

Surkhiyaan amn ki talqeen mein masroof raheen
Harf baarood ugalte rahe akhbaar k beech

Jis ki choti pe basaaya tha qabeela main ne
Zalzale jaag parre hain usi kohsaar k beech

Kaash is khwab ko ta'beer ki mohlat na miley
Sho'le ugte nazar aaye mujhe gulzaar k beech

Dhalte sooraj ki tamaazat ne bikhar kar dekha
Sar-kasheeda mera saaya saf-e-ashjaar k beech

Rizq, malboos, makaaN, saans, marz, qarz, dawa
Munqasim ho gaya insaaN inhi afkaar k beech

Dekhe jaate na they aansu mere jis se Mohsin
Aaj hanste huey dekha usey aghyaar k beech



Chaahat ka rang tha na wafa ki lakeer thi
Qaatil k haath mein to hina ki lakeer thi

Khush hoon k waqt-e-qatl mera rang surkh tha
Mere laboN pe harf-e-dua ki lakeer thi

Main kaarvaaN ki raah samajhta raha jise
Sehra ki reit par wo hawa ki lakeer thi

Sooraj ko jisne shab k andheron mein gum kia
Mauj-e-shafaq na thi wo qaza ki lakeer thi

Guzra hai shab ko dasht se shaayad wo parda-daar
Har naqsh-e-pa k saath rida ki lakeer thi

Kal uska khat mila k saheefa wafa ka tha
Mohsin har ek satr haya ki lakeer thi...



zamane bhar kee nigahon main jo Khuda sa lage
wo ajnabee he magar muj ko aashna sa lage

na jaane kub meree dunya main muskuraye ga
wo ek shakhs ke khwabon main bhe khafa sa lage

ajeeb cheez he yaaro ye manzelon kee hawas
ke raahzan bhee musafir ko rehnuma sa lage

dil tabah! tera mashwara he kia ke mujhe
wo phool rang sitara bhee bewafa sa lage

hoyee he jis se munawar her aik aank kee jheel
wo chaand aaj bhee MOHSIN ko kum numa sa lage



Main Jo Mehka To Meri Shaakh Jala Di Us Ne...

Sabz Mausam Main Mujhe Zard Hawa Di Us Ne...

Pehle Ek Lamhe Ki Zanjeer Se Baandha Mujh ko...

Or Phir Waqt Ki Raftaar Barha Di Us Ne...

Jaanta Tha Ke Mujhe Maut Sakoon Bakhshay Gi...

Woh Sitamgar Tha So Jeene Ki Dua Di Us Ne...

Us Ke Hone Se Thi Saansain Meri Dugni...

Woh Jo Bichra To Meri Umar Ghata Di Us Ne...