Monday, February 2, 2009

Jab kabhii un ke tavajjo men kamii paaii gaii


jab kabhii un ke tavajjo men kamii paaii gaii
az sar-e-nava-e-daastaan-e-shauq doharaaii gaii

bik chuke jab tere lab phir tujh ko kyaa shikavaa agar
zindgaanii baadaa-o-saagar se bahalaaii gaii

aye Gam-e-duniyaa tujhe kyaa ilm tere vaaste
kin bahaanon se tabiyat raah par laaii gaii

ham kare.n tark-e-vafaa achchhaa chalo yun hii sahii
aur agar tark-e-vafaa se bhii na rusvaaii gaii

kaise kaise chashm-o-aariz gard-e-Gam se bujh gaye
kaise kaise paikaron kii shaan-e-zebaaii gaii

dil kii dhadkan men tavazzun aa chalaa hai Khair ho
merii nazaren bujh gaiin yaa terii raanaaii gaii

un kaa Gam un kaa tasavvur un ke shikave ab kahaan
ab to ye baatn bhii ai dil ho gaiin aaii gaii