Friday, January 23, 2009

Tere Ishq Ki

-->
tere ishq kii intahaa chaahata hun
merii saadagii dekh kya chaahata hun
sitam ho ki ho vaadaa-e-behijabii
ko_ii baat sabr-aazama chahata hun
ye jannat mubaarak rahe zaahidon ko
ki main aap kaa saamna chahata hun
koii dam kaa mehaman hun ai ahal-e-mahafil
chirag-e-sahar hun, bujha chahata hun
bharii bazm men raaz kii baat kah dii
bada be-adab hun, saza chahata hun