Thursday, January 22, 2009

Khird


--> -->

Khird ke paas Khabar ke siwa kuch aur nahin
tera ilaaj nazar ke siwa kuchh aur nahin
har muqaam se aage muqaam hai tera
hayaat zauq-e-safar ke siwaa kuchh aur nahin
rangon men gardish-e-Khuun hai agar to kyaa haasil
hayaat soz-e-jigar ke siwaa kuchh aur nahin
uruus-e-laalaa munaasib nahin hai mujhse hijaab
ki main nasiim-e-sahar ke siwaa kuchh aur nahin
jise qasaad samajhte hain taajaran-e-firang
wo shay mataa-e-hunar ke siwa kcuh aur nahin
giraan_bahaa hai to hifz-e-Khudii se hai warna
gauhar men aab-e-gauhar ke siwa kuch aur nahin


Khird=dimaag
Giraan-bahaa=precious
hifz-e-Khudi=preservation of self