Monday, January 26, 2009

Baal-e-Jibraeel


-->
Tera tun rooh se na-aashna hai
Ajab kya! Aah teri naarasa hai
Tun-e-be-rooh se bezaar hai haq
Khuda-e-zinda, zindon ka khuda hai

------------------------Baal-e-.Jibrail

ragon may lahu baaqi nahi hai
vo dil vo aarzoo baaqi nahi hai
namaaz-o-roza,qurbani-o-hajj
ye sab baaqi hain tuu baqi nahi hai

----------------------------Baal-e-Jibrail

aye joo-e-aab badh ke ho darya-e-tund-o-tez
saahil tujhe atta ho tou saahil na kar qabul
khoya na jaa sanam-kada-e-kaainaat may
mehafil gudaaz! Garmi-e-mehafil na kar qabul
subha-e-azl ye mujh se kaha jibrail ne
jo aqal ka ghulaam ho, vo dil na kar qabul

-----------------------------zarb-e-kaleem

sharah-e-mohabbat may hai ishrath-e-manzil haraam
shorish-e-tuufaan halaal,luzzat-e-saahil haraam
ishq pe bijli halaal,ishq pe haasil haraam
ilm hai ibn-ul-kitaab,ishq hai umm-ul-kitaab

--------------------------(ilm-o-ishq)zarb-e-kaleem

zindgi kuch aur shaye hai,ilm hai kuch aur shaye
zindgi soz-e-jigar hai,ilm hai soz-e-dimaagh
ilm may daulat bhi hai.qudrat bhi hai,luzzat bhi hai
ek mushkil hai ke haath aata nahi apna suraagh
aahal-e-daainsh aam hain,kum-yaab hain ahal-e-nazar
kya taajub hai ke khali reh gaya tera baagh

-----------------------------------(tarbiyet)-zarb-e-kalem

ye kaainaat chupaat nahi zameer apna
ke zarre zarre may hai zauq-e-aashkaraaii
kuch aur hi nazar aata hai karobaar-e-jahaan
nigaah-e-shauq agar ho shareek-e-beenaaii
nigaah-e-shauq muyessar nahi agar tujh ko
tera wajood hai qalb-o-nazar ki ruswaaii

-------------------------------(nigah-e-shauq)-zarb-e-kaleem

ye duniya dawat-e-deedaar hai farzand-e-aadam ko
ke her mastur ko baksha gaya hai zauq-e-uryaani
yehi farzand-e-adam ke jiske ashk-e-khooneen se
kiya hai hazrath-e-yezdaan ne daryaon ko tuufaani
falak ko kya khabar ye khaak-daan kis ka nasheman hai
gharz anjum se hai kis ke shabistaan ki nigraani

--------------------------------(Hazrath-e-insaan)-armghan-e-hijaaz