Friday, January 23, 2009

Khizr-e-Raah


saahil-e-dariya pe mai ek raat tha mahu-e-nazar
gosha e dil may chupaye ek jahan e iztraab
shab sukut afza,hawa aasuda,darya narm sair
thi nazar haairaan ke ye darya hai ya tasveer-e-aab
jaise gehware may sojata hai tifle sheerkhwar
mauj muztar thi kahin gehraiyon may mast e khwab
raat ke afsun se taayer ashiyanon may aseer
anjum-e-kumzau giraftar e tilsim emahataab
dekhta kya hoon vo paik-e-jahan paimaa khizar
jiski peeri hai manind e saher e rang e shabab
keh raha hai mujh se aye joyaye israr-e-azal
chasm-e-dil waa ho tou hai taqdeer-e-aalam be-hijaab
Dil may sun kar bapa hungama-e-mahashar hua
mai shahid-e-justaju tha yon sukhan gustar hua
aye teri chasm-e-jahan been perda-e-tufaan aashkaar
jinke hungame abhi darya may sote hain khamush
kashti-e-miskin-va-jaan-e-paak-va-deewar-e-yateem
ilm-e-moosa bhi tere samne hairath ferosh
chod kar abadiyaan rehta hai tu sehra nurd
zindgi teri hai beroz-o-shab-o-ferda-o-dosh
zindgi ka raaz kya hai sultanat kya cheez hai
aur ye sarmaya o mehanath may hai kaisa kharosh
horaha hai ashia ka qarqa-e-dereena chaak
naujawan aqwam-e-nau daulat ke hain paira-e-posh
garcha askandariya mahrum-e-aab-e-zindgi
Fitrat-e-askandri ab tak hai garm nau-o-nosh
aag hai,aulaad-e-ibraim hai,namrud hai
Kya kisi ko phir kisi ka imtihaan maqsud hai
................................................................................................

JAWAB-E-KHIZAR....
-----------------------

SEHRA-NURDI....

kyon tajub hai meri sehra-nurdi per tujhe
ye tigapoye damadam zindgi ki hai daleel
aye raheen-e-khana tu ne vo sama dekha nahi
gunjti hai jab faza-e-dasht may bang-e-raheel
ret ke teele pe vo aahu ka be perwa kharam
vo hazr-e-berg-o-samaan,vo safar be sang-o-meel
vo namud-e-akhtar-e-seemaab paa hungam-e-subha
ya numayaan baam-e-girdon se jabeen-e-jibraeel
vo paani ke chasme per muqam-e-carvaan
ahal-e-imaan may jis tarha junnat may gerd-e-sabeel
taaza verane ki sauda-e-mohabbat ko talaash
aur aabadi may tou zanjeer-e-kasht-o-nakhil
pukhta tar gardish-e-paiham se jaam-e-zindgi
hai yehi aye be-khabar raaz-e-duaam-e-zindgi
---------------------------------------------------------------------

ZINDGI

bar tera andesha sood-o-zyaan hai zindgi
hai kabhi jaan aur kabhi tasleem jaan hai zindgi
tu ise paiman-e-amroz-o-ferda se na naap
javidan paiham rawan her dam jawan hai zindgi
apni duniya aap paida kar agar zindon may hai
sitr-e adam-hai zameer-e-kun fukan hai zindgi
zindgani ki haqeeqat kohakan ke dil se pooch
juye sher-o-sheesha-o-sang-e-giraan hai zindgi
bandgi may ghut ke reh jati hai, ek juye kum aab
aur azadi may bahar-e-bekraan hai zindgi
ashkara hai ye apni quwat e taskheer se
garcha mitti ke paikar may nihaan hai zindgi
qulzum-e-hasti se tu ubhra hai manind-e-hubaab
is zyaan khane may tera imtihaan hai zindgi
khaam hai jub tak hai mitti ka ek anbaar tu
pokhta hojaye tou hai shamsheer be-zanhaar tu
ho sadaqat ke liye jis dil may marne ki tadap
pehle apne paikar-e-khaaki may jaan paida kar de
phunk daale ye zameen asmaan-e-mustuar
aur khakstar se aap apna jahan paida kare
zindgi ki quwat-e-pinhaan ko kar de ashkaar
taaba chingari farogh-e-javidaan kar de
khaak-e-mashriq per chamak jaaye missal-e-aftab
taa-badkhshan phir wahi laaal-e-giraan paida kar de
soye girdon naala-e-shabgeer ka bheje safeer
raat ke taron may apna raazdaan paida kar de
ye ghadi mahashar ki hai tu arsa-e-mahashar may hai
pesh kar ghaafil agar koi amal daftar may hai
-----------------------------------------------------------------

SULTANAT...............

aa bataoon tujh ko ramz-e-aya innaal mulook
sultanat aqwam-e-ghaalib ki hai jadugari
khwab se bedar hota hai zara mehkum agar
phir sula deti hai usku hukmran ki saahiri
jadu-e-mehmood ki taseer se chasm-e-ayaaz
dekhti hai halqa-e-gardan may saaz-e-dilbari
khoon e israeel aajata hai aakhir josh may
tod deta hai koi moosa tilsim e saamri
sarwari zyba faqat us zaat-e-be-hamtaa ko hai
hukmran hai ek wahi baaqi butaan e aazri
az ghulami fitrat-e-azad ra-ruswa-e-mukan
ta tarashi khwaja-e-az barhman kaafir teri
hai wahi saaz-e-kuhan maghrib ka jamhuri nizaar
jis ke perdon may nahi ghair az nava-e-qaisari
dev estabdad jamhuri quba may pay-e-koab
tu samjhta hai ye azadi ki hai nilam pari
majlis-e-ayeen-o-islah-o-riyayaat-o-huquq
talab-e-maghrib may maze meethe asar khwab awari
garmi-e-guftar-e-azaaye majlis-ul-amaan
ye bhi ek sarmayadaron ki jung-e-zargiri
saraab-e-rang-o-bu ko samjha gulistaan tu
aah! Aye nadan,qufas ko aashiyaan samjha hai tu
------------------------------------------------------------------
SARMAYA-O-MEHNATH....

banda-e-mazdur ko jaa kar mera paighaam de
khizar ka paigham kya, ye hai payam-e-kaynaath
aye ke tujh ko khaa gaya sarmaya daar-e-heela gar
shaakh-e-aahu per rahi sadiyon talak teri baraat
dast-e-daulat afreen ko mazd yon milti rahi
ahal-e-sarwat dete hain jaise ghareebon ko zakaat
saahir-ul mauth ne tujh ko diya barg-e-haseesh
Aur tu be-khabar samjha use shaakh-e-nabat
Nasal qaumiyet kalisa saltanat tahzeeb rang
Khwajgi ne chun chun ke banaaye muzkirat
Kat mara nadaan khaayali devtaaon ke liye
Sukar ki luzzat may lutwa gaya naqd-e-hayaat
makar ki chalon se baazi le gaya sarmayadar
intehai sadgi se kha gaya mazdur maat
uth ke ab bazm-e-jahaan aur hi andaaz hai
mashriq-o-magharib may tere daur ka aghaaz hai
himmat e aali tou darya bhi nahi karti khubul
ghuncha saan ghaafil tere daman may shabnam kab talak
naghma-e-bedari-e-jamhur hai saman e ayesh
khissa-e-khwab awar askandar-o-jum kab talak
aftab taaza batan geeti se paida hua
asman,doobe huye taaron ka matam kab talak
tod daleen fitrat e insaani ne zanjeeren tamam
doori-e-junnat se roti chasm-e-aadam kab talak
baghban-e-charah ferma se ye kehti hai bahar
zakhm-e-gul ke waste tadbeer-e-marham kab talak
karm ke nadan tawaaf shamma se azaad ho
apni fitrat ke tajalli zarre may abaad ho
---------------------------------------------------------------
DUNIYA-E-ISLAM........

kya sunata hai mujhe turk-o-arab ki dastan
mujh se kuch pinhaan nahi islamiyon ka soz-o-saaz
le gaye taslees ke farzand meeras e khaleel
khisht-e-buniyad-e-kalisa ban gai khaak e majaz
hogai ruswa zamane may kalaah-e-laala-o-rang
jo sarapa naaz they aaj majbur-e-niyaaz
le raha hai maaye faroshan e frangistaan se paras
vo maye sarkash harararth jiski hai meena gudaz
hikmat-e-maghrib se millat ki ye kaifiyet hui
tukde tukde jis tarha sone ko kar deta hai gaaz
ho gaya hai manind aab-e-arzaan musalman ka lahu
muztarib hai tu ke tera dil nahi dana-e-raaz
guft romi her bana-e-kohna ka abadaan kunand
mi nadani awal aan bunidara verab kunand
mulk hathon se gaya millat ki ankhen khul gayeen
haq tera chasme atta kar dast-e-ghaafil rangar
momiyaii ki gadaii se tou behter hai shikast
mor be par,haajat e pesh e saleema nema bar
rabt-o-zabt millat-e-baiza hai mashriq ki nijat
ashia wale hain is nukte se ab tak bekhabar
phir siyasat chod kar daakhil hissar deen may ho
mulk-o-daulat hai faqat hifz-e-huram ka ek samar
ek ho muslim hurm ki pasbani ke liye
neel ke saahil se le kar taabkhaak e kaashghar
jo karega imtiyaaz e rang o khoon mit jaayega
tark-e-khar gaahi ho ya araabi wala gahar
nasal agar muslim ki mazhab per muqadam hogai
ud gaya duniya se tu manind-e-khaak-e-rah guzar
taa khilafat ki bina duniya may ho phir istwar
laa kahin se dhund kar aslaaf ka qalb-o-jigar
aye ke na-shanaasi khafi ra az jali hoshiyar baash
aye garftar-e-abubakar-o-ali hoshoyar baash
ishq ko faryad laazim hochuki so vo bhi hogai
ab zara dil thaam kar faryad ki taaseer dekh
tu ne dekha satwat e raftar e darya ka uruj
mauj-e-maztar kis tarha banti hai ab zanjeer dekh
aam huzziyet ka jo dekha tha khwab islam ne
aye musalman tu aaj us khwab ki taabir dekh
apni khakstar samandar ko hai saman-e-wajud
mar ke phir hota hai paida ye jahan e peer dekh
khol kar ankhen mere aaina-e-guftar may
aane wale daur ki dhundli si ek tasweer dekh
aazmuda fitna hai ek aur bhi girdon ke paas
samne taqdeer ke ruswaii-e-tadbeer dekh
muslim asti seena ra az arzo-o-abad dar
her zamaan pesh-e-nazar laa yuhlif-ul-miyaad dar

--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
sitaaron se aage jahaan aur bhii hain
abhii ishq ke imtihaan aur bhii hain
taahii zindagii se nahiin ye fazaayen
yahaan saikadon kaaravaan aur bhii hain
qanaa'at na kar aalam-e-rang-o-bu par chaman aur bhii, aashiyaan aur bhii hain
agar kho gayaa ek nasheman to kyaa Gam
maqaamaat-e-aah-o-fugaan aur bhii hain
tuu shahiin hai parwaaz hai kaam teraa
tere saamane aasmaan aur bhii hain
isii roz-o-shab men ulajh kar na rah jaa
ke tere zamiin-o-makaan aur bhii hain
gae din ke tanhaa thaa main anjuman men
yahaan ab mere raazadaan aur bhii hain