Sunday, January 25, 2009

Baang-e-Dara se.....



Jalana hai mujhe her shamma-e-dil ko soz-e-pinhaan se
Teri taarik raaton may charaghaan kar ke chodunga

Pirona ek hi tasbeeh may in bikhre daanon ko
Jo mushkil hai tou is mushkil ko asaan kar ke chodunga

-----------------------------------------------Md.Iqbaal

waayez kamaal tarak se milni hai yaan muraad
duniya jo chod di hai tou aqba bhi chod de

saudagiri nahi,ye ibadat khuda ki hai
aye bekhabar jazaa ki tammanna bhi chod de

acha hai dil ke saath rahe paasbaan-e-aqal
laikin kabhi kabhi isey tanhaa bhi chod de

----------------------------(Ghazliyaat,Baang-e-daraa).Md.Iqbaal

aah kis ki justaju aawara rakhti hai tujhe
rah tu,rahru bhi tu,rehbar bhi tu,manzil bhi tu

kaanpta hai dil tera andesha-e-tuufan se kya
nakhuda tu,bahar bhi tu,kashti bhi tu,saahil bhi tu

waaye nadani ke tu mohtaaj-e-saaqi hogaya
maye bhi tu,meena bhi tu,saaqi bhi tu,mehafil bhi tu

shola ban kar phunk de khaashak-e ghairullah ko
khauf-e-batil hai kya ke, hai gharathgir baatil bhi tu

-----------------------------------Md.Iqbaal

tu bacha bacha ke na rakh isey,tera aaina hai vo aaina
ke shikasta ho tou azeeztar hai nigaah-e-aainasaaz may

na ishq may raheen vo germiyaan,na vo husn may rahen shukhiyaan
na ghaznavi may tadap rahi,na khum hai zulf-e-ayaaz may

jo mai sarbasjda hua kabhi tou zameen se aane lagi sada
tera dil tou hai sanam aashna,tujhe kya milega namaaz may

------------------------------------------------Md.Iqbaal

pokhta hoti hai agar ho maslihat-andesh aqal
ishq ho maslihat-andesh tou hai khaam abhi

be-khater kood pada aatish-enamrood may ishq
aqal hai mahu-e-tamaasha-e-lub-e-baam abhi

ishq fermuda-e-qaasid se subk-e-gaam-e-amal
aqal samjhi hi nahi maani-e-apighaam abhi

--------------------------------------------Md.Iqbaal

ishq bhi ho hijab may,husn bhi ho hijaab may
ya khud tu aashkaar ho,ya mujhe aashkaar kar

tu hai muheet-e-bekaraan ,mai hun zara si aabju
ya mujhe humkinaar kar,ya mujhe bekinaar kar

baagh-e-bihisht se mujhe hokum-e-safar diya tha kyon
kaar-e-jahaan daraz hai,ab mera intizaar kar

roz-e-hisaab jub mera pesh ho daftar-e-amal
aap bhi shermsaar ho,mujh ko bhi shermsaar kar

--------------------------------------Md.Iqbaal

tu abhi rehguzar may hai,qaid-e-moqam se guzar
misr-o-hijaaz se guzar,paars-o-shaam se guzar

jiska amal hai begharz.uski jaza kuch aur hai
hoor-o-qayaam se guzar,baada-o-jaam se guzar

garcha hai dilkusha bahut farang ki bahaar
tayerk-e-bulund baal,daana-o-daam se guzar

koh shagaaf teri zarb,tujh se kushaad sharq-o-gharb
tegh-e-hilaal ki tarha ayesh-e-neyaam se guzar

tera imam behuzur,teri namaaz besurur
aisi namaaz se guzar,aise imam se guzar

-----------------------------------(Baal-e-Jibrail).Md.Iqbaal

apne may doob kar paajaa suraagh-e-zindgi
tu mera nahi banta na ban,apna tou ban

mun ki duniya! aman ki duniya soz-o-masti,jazb-o-shauq
tun ki duniya!tun ki duniya sood-o-sauda,makr-o-fun

mun ki daulat haath aati hai tou phir jaati nahi
tun ki daulat chaun hai,aata hai dhan jaata hai dhan

mun ki duniya may na paaya maine firangi ka raaj
mun ki duniya may na dekhe maine sheikh o brahaman

paani paani kargaii mujh ko qalandar ki ye baat
tu jhuka jub ghair kea age,na mun tera na tun

-----------------------------------------------------B-J-Md.Iqbaal