Wednesday, February 27, 2013

Shayer Asghar Gondvi







ye ishq ne dekhaa hai ye aql se pinhaaN hai
qatare men samandar hai zarre men bayaabaaN hai
ai paikar-e-mahabuubii main kis se tujhe dekhuuN
jis ne tujhe dekhaa hai vo diidaa-e-hairaaN hai
sau baar teraa daaman haathon men mere aayaa
jab aaNkh khulii dekhaa apanaa hii girebaaN hai
ye husn kii maujen hain yaa josh-e-tamannaa hai
us shoKh ke honThon par ik barq sii larazaaN hai
'Asghar' se mile lekin 'Asghar' ko nahiin dekhaa
ashaar men sunte hain kuchh kuchh vo numaayaaN hai
-------------------------------------------------------------------------------
Ye raaz hai meri zindgi ka
pahne huye hoon kafan Khudi ka
phir nashtar-e-Ghum se cherte hain
ik tarz hai ye bhi dil dahi ka
o lafz-o-baya main chupane wale
ab qasd hai aur Khamoshi ka
marna to hai ibtada ki ik bat
jina hai kamal moontahi ka
haa sina golon ki tarah kar chak
de mar ke saboot zindgi ka
--------------------------------------------------------------------------------------
Ye mujh se pochiye kya justaju main lazzat hai
faza-e-dahar main tahlil ho gaya hoon mai
hatake shisha-o-sagar hujom-e-masti main
tamam arsa-e-alam pe cha gaya hoon mai
ura hoon jab to falak pe liya hai dam ja kar
zameen ko tor gaya hoon jo rah gaya hoon mai
rahi hai Khak ke zarroon main bhi chamak meri
kabhi kabhi to sitaroon main mil gaya hoon mai
-------------------------------------------------------------------------------------
paas-e-adab main josh-e-tamanna liye huwe
mai bhi hoon ek hobab main dariya liye huwe
rag-rag main aur kuch na raha joz Khayal-e-dost
us shoK ko hoon aj sarpa liye huwe
sarmaya-e-hayat hai hirmane-e-ashiqi
hai sath ek sorat-e-zeba liye huwe
josh-e-junoon main chot gaya astan-e-yar
rote hain mounh main daman-e-sahra liye huwe
`Asghar` hujom-e-dard-e-Garibi main uski yaad
ai hai ik tilismi tamanna liye huwe
------------------------------------------------------------------------------------------
majoo ka aks hai Khat-e-jam-e-sharab main
ya Khoon uchal raha hai rag-e-mohtab main
wo mot hai k kahte hain jisko sukoon sab
wo ain zindgi hai jo hai iztarab main
dozakh bhi ek jalwa-e-firdoos se husn hai
jo is se bekhabar hain wahi hain azab main
us din bhi meri rooh thi mahw-e-nishat-e-did
moosa ulajh gae the sawal-o-jawab main
mai iztarab-e-shoq kahoo ya jamal-e-dost
ik barq hai jo kaondh rahi hai naqaab main
----------------------------------------------------------------------------------------
Ik alam-e-hairat hai fana hai na baqa hai
hairat bhi ye hai k kya janiye kya hai
sao bar jala hai to ye sao bar bana hai
hum sokhta janoo ka nasheman bhi bala hai
honthoo pe tabassum hai k ek barq-e-bala hai
ankhoo ka ishara hai k sailab-e-fana hai
sunta hoon bare gorr se afsana-e-hasti
kuch Khwab hai kuch asl hai kuch tarz-e-ada hai
hai tere tasawor se yaha noor ki barish
ye jan-e-hazi hai k shabistan-e-hira hai
---------------------------------------------------------------------------------------------
Khuda jane kaha hai `Asghar`-e-dewana barsoo se
ki us ko DhoonDhte hain ka`baba-o-butKhana barsoo se
tarpana hai na jalana hai na jalkar Khak hona hai
ye kyun soi hoi hai fitrat-e-parwana barsoo se
koi aisa nahi yaar ab k jo is dard ko samjhe
nahi maloom kyun Khamosh hai diwana barasoo se
hasinoo par na rang aaya na phooloon main bahar aii
nahin aya jo lab par naGma-e-mastana barsoo se
  -----------------------------------------------------------------------------------------------------------
Husn ko wusaten jo deen ishq ko hausla diya
Jo na mile na mit sake mujh ko wo mudd'aa diya
Haath me leke jaam-e-maey aaj wo muskura diya
Aql ko sard kar dia ruh ko jagmaga diya
Dil pe liya hai daag-e-ishq khoke bahaar-e-zindagi
Ik ghul-e-tar ke waaste mainey chaman lutaa diya
Kuchh to kaho ye kya hua tum bhi the saath kya
Ghum me yah kyun suroor tha dard ne kyun maza diya
Ab na yah meri zaat hai ab na ye kaaenaat hae
Mainey nawa-e-ishq ko saaz se yun mila diya
Aks jamaal-e-yaar ka aainaa-e-khudi me dekh
Yah ghum-e-ishq kya dia mujhse mujhe chhipa diya
Hashr me aaftaab-e-hashr aur wo shor-e-al'amaan
'Asghar'-e-butparast ne zulf ka waasta diya


aalaam-e-rozgaar ko aasaaN banaa diyaa
jo gham huaa, use gham-e-janaaN banaa diyaa
maiN kaamyaab-e-deed bhii, mahruum-e-deed bhii
jalvoN ke aZhdahaam ne hairaaN banaa diyaa
yuuN muskuraye, jaan si kaliyoN meN paR gayii
yuuN lab-kushaa hue ki gulistaaN banaa diyaa
voh shorisheN, nizaam-e-jahaaN jinke dam se hai
jab muKhtasar kiyaa unheN insaaN banaa diyaa
aye sheikh! voh baseet haqiqat hai kufr kii
kuchh qaid-o-rasm ne jise iimaaN banaa diyaa
ham us nigaah-e-naaz ko samjhe the neshtar
tumne to muskuraa ke rag-e-jaaN banaa diyaa