Thursday, February 7, 2013

Iqbal Saheb ka ek khubsurat Kalaam






Maan Ka Khawab
-------------------------

Mein Soyi Jo Ek Shab To Dekha Ye Khawab
Badha Aur Jis Say Mera Iztarab
Ye Dekha Ke Mein Ja Rahi Hun Kahin
Andhera Hai Aur Rah Milti Nahin
Larazta Tha Der Se Mera Baal Baal
Qadam Ka Tha Dehshat Se Uthna Mahal
Jo Kuch Hosla Pa Ke Aagay Badhi
To Dekha Qitar Aik Ladkon Ki Thi
Zumurad Si Poshak Pehne Huay
Diye Sub Ke Hathon Mein Jalte Huay
Woh Chup Chap Thay Agay Peeche Rawaan
Khuda Jaane Jaana Tha Un Ko Kahan
Iss Soch Mein Thi Ke Mera Pisar
Mujhe Uss Jamaat Mein Aya Nazar
Woh Peche Tha Aur Taez Chalta Na Tha
Diya Uss Ke Hathon Mein Jalta Na Tha
Kaha Mein Ne Pehchan Ker, Meri Jaan!
Mujhe Chor Ker Aa Gye Tum Kahan?
Judai Mein Rehti Hun Main Be-Qarar
Paroti Hun Her Rouz Ashkon Ke Haar
Na Perwa Humari Zara Tum Ne Ki
Gye Chor, Achi Wafa Tum Ne Ki!
Jo Bache Ne Dekha Mera Peach O Taab
Diya Uss Ne Munh Phair Ker Yun Jawab
Rulati Hai Tujh Ko Juddai Meri
Nahin Uss Mein Kuch Bhi Bhalai Meri
Ye Keh Ker Vo Kuch Dair Tak Chup Raha
Diya Phir Dikha Ker Ye Kehne Laga
Samajhti Hai Tu Ho Gaya Kya Issay?
Tere Aanasuon Ne Bhujaya Issay!