Monday, December 7, 2009

Some pearls From Jaganath Azad"s Ocean of Thoughts


Jaganath Azad
-------------------
jis tarah daaman-e-mashriq men sahar hotii hai
zarre zarre ko tajallii kii Khabar hotii hai
aur jab nuur kaa sailaab guzar jaataa hai
raat bhar ek andhere men basar hotii hai
kuchh isii tarah se hai yaad ke tum aaye the 
jaise gulashan men dabe paaon bahaar aatii hai
pattii pattii ke liye leke nikhaar aatii hai
aur phir vaqt vo aataa hai ke har mauj-e-sabaa
apane daaman men liye gard-o-Gubaar aatii hai
kuchh isii tarah se hai yaad ke tum aaye the 
jis tarah mahv-e-safar ho ko_ii viiraane men
aur raste men kahiin ko_ii KhiyaabaaN aa jaaye
chand lamhon men KhiyaabaaN ke guzar jaane par
saamane phir vohii duniyaa-e-biyaabaaN aa jaaye
kuchh isii tarah se hai yaad ke tum aaye the 
 
 
manzil-e-jaanaaN ko jab ye dil ravaaN thaa dosto 
tum ko main kaise bataa_uuN kyaa samaaN thaa dosto 

har gumaaN pahane hue thaa ek malbuus-e-yaqiin 
har yaqiin jaaN daadaa-e-husn-e-gumaaN thaa dosto 

dil ki har dha.Dakan makaan-o-laamakaaN par thii muhiit 
har nafas raaz-e-do_aalam kaa nishaaN thaa dosto 
 
kyaa Khabar kis justajuu men is qadar aavaaraa thaa 
dil ke jo ganjiinaa-e-sarr-e-nihaaN thaa dosto 
 
DhuuNDhane par bhii na milataa thaa mujhe apanaa vujuud 
main talaash-e-dost men yuuN benishaaN thaa dosto 
 
markad-e-iqbal par haazir thii jab dil ki taDap 
zindagii kaa ek pardaa darmiyaaN thaa dosto 
 
qarb ne paidaa kiyaa thaa Khud hii duurii kaa samaaN 
faasalaa varna haa_il kahaaN thaa dosto
 
beKhudii men jab mere honTon ne chuumaa qabr ko 
mere siina se gadaa-e-fursiyaaN thaa dosto 
 
ruu-ba-ruu-e-jalvaa-e-markad vujuud-e-kam ayaar 
zar-e-naaqis sharmasaar-e-imtehaaN thaa dosto 
 
partav-e-dil men nihaaN thii tah-bateh ye Khaamoshii 
ishq kaa vo bhii ik izhaar-e-bayaaN thaa dosto 
 
jalvaagaah-e-dost kaa aalam kahuuN main tum se kyaa
jalvaa hi jalvaa vahaaN thaa main kahaaN thaa dosto
 
sajdagaah-e-Khurshiyaa.N thaa yaaN na jaane kyaa thaa vo 
jo merii nazaron ke aage aastaaN thaa dosto 
 
dil ne har lamhe ko dekhaa ik niraale rang me.n 
lamhaa lamhaa daastaa.N dar daastaaN thaa dosto 
 
jis ke sher-o-naGmagii par vusat-e-aalam thii tang 
har subah ko vo dopahre bekaraaN thaa dosto 
 
so rahaa thaa Khaak ke niiche jahaan-e-zindagii 
raaz-e-hastii merii nazaron par ayaaN thaa dosto 
 
kaash tum bhii merii palkon kaa nazaaraa dekhate 
ye nazaaraa kahkashaaN dar kahkashaaN thaa dosto 
 
 
 
mumkin nahiin ki bazm-e-tarab phir sajaa sakuuN 
ab ye bhii hai bahut ki tumhen yaad aa sakuuN 
 
ye kyaa tilism hai ki terii jalvaagaah se 
nazadiik aa sakuuN na kahiin duur jaa sakuuN 
 
zauq-e-nigaah aur bahaaro.n ke darmiyaaN 
parde gire hai.n vo ki na jin ko uThaa sakuuN 
 
kis tarah kar sako bahaaron ko mutama_in 
ahal-e-chaman jo main bhii chaman men na saakuuN 
 
terii hasiin fizaa me.n mere ai naye vatan 
aisaa bhii hai ko_ii jise apanaa banaa sakuuN 
 
 
'Azad' saaz-e-dil pe hain raqsaaN ke zam-zame 
Khud sun sakuuN magar na kisii ko sunaa sakuuN 
 
 
terii bazm-e-tarab me.n soz-e-pinhaaN leke aayaa huuN 
chaman men yaad-e-ayyaam-e-bahaaraaN leke aayaa huuN 
 
terii mahafil se jo aramaan-o-hasarat leke nikalaa thaa 
vo hasarat leke aayaa huuN vo aramaaN leke aayaa huuN 
 
tumhaare vaaste ai dosto mai.n aur kyaa laataa 
vatan kii subah aur shaam-e-GariibaaN leke aayaa huuN 
 
main apane ghar men aayaa huuN magar andaaz to dekho 
ke apane aap ko maanind-e-mahamaaN leke aayaa huuN 
 
 
 
kaamaraan yuuN thaa meraa baKht-e-javaaN kal raat ko
jhuk rahaa thaa mere dar pe aasamaaN kal raat ko 
 
 
husn jab thaa ishq ke ghar mahamaaN kal raat ko
uTh chukaa thaa har hijaab-e-daramiyaaN kal raat ko 
 
kaash ban jaatii hayaat-e-jaavidaaN kal raat ko
kis qadar mahabuub thii umr-e-ravaaN kal raat ko 
 
dil agar tanhaa meraa tiir-o-kamaaN kii zad pe thaa
dil kii zad par bhii rahe tiir-o-kamaaN kal raat ko 
 
ban rahii thii halqaa merii ziist ke girdaab kaa
kuchh sunaharii kuchh rupahalii chuuriyaaN kal raat ko 
 
ruk ga_iin thii yuuN zamiin-o-aasamaaN kii gardishen 
niim-shab par shaam hii kaa thaa gumaaN kal raat ko 
 
kyaa Khabar kyon husn kii farmaa_ishon ke baavajuud
ishq ne chheDii na apanii daastaaN kal raat ko 
 
subah phir laane ko hai lambii judaa_ii kaa payaam 
ye bhii ik aavaaz aa_ii naagahaaN kal raat ko