Tuesday, December 8, 2009

Rubaiyath--Umr Khayaam

Rubayee

"Khayyaam agar bada kashi se khush hai
Sheeshey ki bani laal paree se khush hai
Kyon roktey ho us ko nasihat karke
Khush rahney do gar apni khushi se khush hai

Woh jalwanuma hoga, woh din aayega
Ek din woh mera hoga, woh din aayega
Chaaha jo mukaddar ne to din badlenge
Yeh ishk khuda hoga vo din aayega"

Dil geet khushi ke gayega, dil geet khushi ke gayega,
Ek din aisa bhi ayega, ek din aisa bhi aayega, ek din aisa bhi ayega
Dil geet khushi ke gayega

Ek phool samajh kar kagaz ka, munh modke jaane waale sun

Munh modke jaane waale sun
Yeh phool na phir murjhayega, ek din aisa bhi aayega
Ek din aisa bhi ayega, ek din aisa bhi aayega
Dil geet khushi ke gayega

Ek chaand hamari bahon mein, ek chaand andheri raaton mein

Ek chaand andheri raaton mein
Ek duje se sharmayega, ek din aisa bhi aayega
Ek din aisa bhi ayega, ek din aisa bhi aayega
Dil geet khushi ke gayega

Milney ki lagan sachchi hai agar, dhun chaahat ki pakki hai agar

Dhun chaahat ki pakki hai agar
Kismat ka likha tal jayega, ek din aisa bhi aayega
Ek din aisa bhi ayega, ek din aisa bhi aayega
Dil geet khushi ke gayega, ek din aisa bhi aayega
Ek din aisa bhi aayega, ek din aisa bhi aayega
Dil geet khushi ke gayega, dil geet khushi ke gayega,

dil geet khushi ke gayega

"Zindagi mere liye keemati nemat teri
Mujh ko paida kiya tuney yeh hai kudrat teri
Imtahaan loonga main do chaar baras karke gunaah
Jurm mere hain zyada ke hai rehamt teri

Khalik hai har ek shai ka, bata tu hi bata
Main banda hun aur tu hai khuda, tu hi bata
Karta hoon bura main to sazaa deta hai
Hum dono mein kya phark raha tu hi bata"

Sabr de ya mere zakhmon ko masiha de de
Sabr de ya mere zakhmon ko masiha de de
Varna phir mujh ko tadapne ka salika de de
Sabr de ya mere zakhmon ko

Thak ke be-noor hui dhoondne waali aankhein

Ab elahi mere pairon mein ujaala de

de Sabr de ya mere zakhmon ko

Umar bhar jisne kadi dhoop mein rahat dee hai

Us sulagti hui deewar ko saaya de de
Varna phir mujh ko tadapne ka salika de de
Sabr de ya mere zakhmon ko

Aarzoo hai ki kisi aankh mein aansoo na rahe

Mere haathon mein koi aisa khilona de de
Varna phir mujh ko tadapne ka salika de de
Sabr de ya mere zakhmon ko masiha de de
Sabr de ya mere zakhmon ko

"Vaabastha kabhi jaamo-subu se na hua
Kuch phayada koyal ki bhi ku se na hua
Aa kabr pe meri ke mera zimma hai
Tu mast agar mitti ki boo se na hua

Paigaamein ajal layee thi layee hogi
Tab gham ki ghata chayee thi chayee hogi
Yeh jaam yeh khushboo yeh paharain yeh sharaab
Glushan mein khiza aayee thi aayee hogi"

Baharen agar tumse daaman bachayein mere zakhm se taazgi maang lena

Agar tumse suraj kabhi ruth jaye mere jaam se roshni maang lena

Gaya aa ke aangan se khusboo ka mausam, ke mausam ko ek roz jaana tha yun bhi

Abhi daaliyon par bahut phool honge, kisi phool se dilkashi maang lena
Baharen agar tumse daaman bachayein mere zakhm se taazgi maang lena

Kabhi bojh gham ka jo bad jaaye dil par to ro lena tanhaiyon se lipat kar

Labon par kabhi aayen hafrein shikayat to deewar se khamoshi maang lena
Agar tumse suraj kabhi ruth jaye mere jaam se roshni maang lena
Baharen agar tumse daaman bachayein mere zakhm se taazgi maang lena

Yeh lambi ghani raat kaise kategi, sahara to ek chahiye zindagi ko

Agar shamma tumse kare bewafayee, kisi saaye se dosti maang lena
Agar tumse suraj kabhi ruth jaye mere jaam se roshni maang lena
Baharen agar tumse daaman bachayein mere zakhm se taazgi maang lena
Baharen agar tumse daaman bachayein mere zakhm se taazgi maang lena

"Patay hain na muflis hi na daulat waale
Pee kar jo mazaa lete hai kismat waale
Jo hosh ki daldal mein hai woh kya jaane
Is paar se kis paar gaye matwaale

Duniya hai hawa, saara bharam hai saaki
Ek aag hai yeh umr, alam hai saaki
Paani ki tarah paak hain lekin ek din
Mil jayenge mitti mein yeh gham hai saaki"

Bhikrey padey hain ghaans pe aansoo samet le

Yeh chandni ka dukh hai magar tu samet le

Raaton ko tut-te hue taron ka gham na kar

Palkon pe uski yaad ke jugnu samet le
Bhikrey padey hain ghaans pe aansoo samet le

Sab jagmagatey khaab phizaan mein uchaal de

Suraj ke ehtaraam mein pehlu samet le
Bhikrey padey hain ghaans pe aansoo samet le

Kaali ghataa ko khul ke barasna nasseb ho

Yaa-rab zameen ki pyaas agar tu samet le
Bhikrey padey hain ghaans pe aansoo samet le
Yeh chandni ka dukh hai magar tu samet le
Bhikrey padey hain ghaans pe aansoo samet le
Bhikrey padey hain ghaans pe aansoo samet le

"Saakiya baat yeh meri dil-e-maikhwaar mein rakh
Saakiya baat yeh meri dil-e-maikhwaar mein rakh
Ek takhti pe yeh likh ke kisi baazaar mein rakh
Mar jaoon to mitti se meri eent bana
Aur us eent ko maikhaney ki deewar mein rakh

Vakt banjara hai jab laad chalega ek din
Dekh lena ke yahi ho ke rahega ek din
Meri mitti ko bhi dhaalega koi kuzagar
Toot kar mera badan jaam banega ek din
Toot kar mera badan jaam banega ek din"

Bhari baarish mein bhi har vakt shola sa lapakta hai

Na jane khaake-maikhaana mein kis ka dil dhadakta hai

Hamarey dil ka koi zakhm hai ya dhyaan hai uska

Na jaane kaun hai ghar mein ke saara ghar mehakta hai
Na jaane kaun hai ghar mein ke saara ghar mehakta hai
Bhari baarish mein bhi har vakt shola sa lapakta hai

Nahin maaloom kya rishta hai paimane se aankhon ka

Chalak padti hai aankhein jab bhi paimana Chalakta hai
Chalak padti hai aankhein jab bhi paimana Chalakta hai
Na jane khaake-maikhaana mein kis ka dil dhadakta hai
Bhari baarish mein bhi har vakt shola sa lapakta hai

Dil-e-betaab to kab hua khamosh ro rokar

To phir yeh kaun mujh mein chup ke raaton ko sisakta hai
To phir yeh kaun mujh mein chup ke raaton ko sisakta hai
Na jane khaake-maikhaana mein kis ka dil dhadakta hai
Bhari baarish mein bhi har vakt shola sa lapakta hai
Bhari baarish mein bhi har vakt shola sa lapakta hai

Khaali jaam liye baithe ho, Khaali jaam liye baithe ho, un aankhon ki baat karo
Raat bahut hai, pyaas bahut hai, barsaaton ki baat karo, khaali jaam liye baithe ho

Jo peekar mast huey hain un ke zikr se kya haasil
Jo peekar mast huey hain un ke zikr se kya haasil, un ke zikr se kya haasil
Jin tak jaam nahi pahuncha hai un pyaason ki baat karo
Raat bahut hai, pyaas bahut hai, barsaaton ki baat karo, khaali jaam liye baithe ho

Chup rehney se cut na sakegi sadiyon lambi raat yahan
Chup rehney se cut na sakegi sadiyon lambi raat yahan, sadiyon lambi raat yahan
Jin yaadon se dil roshan hai, un yaadon ki baat karo
Raat bahut hai, pyaas bahut hai, barsaaton ki baat karo, khaali jaam liye baithe ho

Phir palkon par jugnu chamke, aankhon mein ghata si lehrai
Phir palkon par jugnu chamke, aankhon mein ghata si lehrai, aankhon mein ghata si lehrai
Thandi hawa ka zikr karo, kuch bheegi ruton ki baat karo
Raat bahut hai, pyaas bahut hai, barsaaton ki baat karo, khaali jaam liye baithe ho
Un aankhon ki baat karo, Khaali jaam liye baithe ho