bujh gaye charagh kaise kaise
---------------------------------------------------------
Asrar ul Haq Majaz was a
distinguished and one of the most progressive Urdu shayar and journalist famous
for romantic and revolutionary poetry. He was the maternal uncle of film
lyricist Javed Akhtar. His father's name was Sirajul Haq. Majaz did his graduation
from Aligarh Muslim University, where he started his career as a poet. Majaz
began his career as the first editor of the Urdu journal of All India Radio,
Aawaz – Delhi. However, he soon left the job to become an active member of the
Progressive Writers Movement. In collaboration, with Sardar Jaffri and Sibtey
Hasan, he started the most influential progressive literary monthly magazine of
that period, from Lucknow. This magazine was known as Naya Adab. His
collections of poems are under two titles, 'Ahang' and 'Shab Tab'. His most
famous poem is 'Aawara'. It is a personification of the yearning of a modern
young man of a big city, where money is the only commodity that can buy
happiness. His other poems like Nora and Nazr-e-Aligarh were also very famous during
that era. At one point of time he was undergoing treatment for addiction to
alcohol at Ranchi Mental Hospital. He died in Lucknow in 1955.
-----------------------------------------------------------------------------------------------
dāman-e-dil pe nahīñ bārish-e-ilhām
abhī
ishq nā-puḳhta abhī jazb-e-darūñ ḳhaam
abhī
ḳhud hī jhuktā huuñ ki da.avā-e-junūñ
kyā kījiye
kuchh gavārā bhī hai ye
qaid-e-dar-o-bām abhī
ye javānī to abhī mā.il-e-paikār
nahīñ
ye javānī to hai rusvā-e-mai-o-jām
abhī
vaa.iz o shaiḳh ne sar joḌ ke badnām
kiyā
varna badnām na hotī mai-e-gulfām
abhī
maiñ ba-sad-faḳhriya zuhhād se kahtā
huuñ 'majāz'
mujh ko hāsil,
sharf-e-bai.at-e-ḳhayyām abhī
------------------------------------------------------------------------------------------
aish se be-niyāz haiñ ham log
be-ḳhud-e-soz-o-sāz haiñ ham log
jis tarah chāhe chheḌ de ham ko
tere hāthoñ meñ saaz haiñ ham log
be-sabab iltifāt kyā maanī
kuchh to ai chashm-e-nāz haiñ ham log
mahfil-e-soz o saaz hai duniyā
hāsil-e-soz o saaz haiñ ham log
koī is raaz se nahīñ vāqif
kyuñ sarāpā niyāz haiñ ham log
ham ko rusvā na kar zamāne meñ
bas-ki terā hī raaz haiñ ham log
sab isī ishq ke karishme haiñ
varna kyā ai 'majāz'
haiñ ham log
----------------------------------------------------------------------------------
aql kī sat.h se kuchh aur ubhar jaanā
thā
ishq ko manzil-e-pastī se guzar jaanā
thā
jalve the halqa-e-sar dām-e-nazar se
bāhar
maiñ ne har jalve ko pāband-e-nazar
jaanā thā
husn kā ġham bhī hasīñ fikr hasīñ
dard hasīñ
un ko har rañg meñ har taur sañvar
jaanā thā
husn ne shauq ke hañgāme to dekhe the
bahut
ishq ke dāva-e-taqdīs se Dar jaanā
thā
ye to kyā kahiye chalā thā maiñ kahāñ
se hamdam
mujh ko ye bhī na thā maalūm kidhar
jaanā thā
husn aur ishq ko de tāna-e-bedād
'majāz'
tum ko to sirf isī baat
par mar jaanā thā
-------------------------------------------------------------------------------------
ḳhāmushī kā to naam hotā hai
varna yuuñ bhī kalām hotā hai
ishq ko pūchhtā nahīñ koī
husn kā ehtirām hotā hai
aañkh se aañkh jab nahīñ miltī
dil se dil ham-kalām hotā hai
husn ko sharmsār karnā hī
ishq kā intiqām hotā hai
Allāh Allāh ye nāz-e-husn 'majāz'
intizār-e-salām hotā
hai
----------------------------------------------------------------------------------------
ḳhud dil meñ rah ke aañkh se parda
kare koī
haañ lutf jab hai pā ke bhī DhūñDā
kare koī
tum ne to hukm-e-tark-e-tamannā sunā
diyā
kis dil se aah tark-e-tamannā kare
koī
duniyā laraz ga.ī dil-e-hirmāñ-nasīb
kī
is tarah sāz-e-aish na chheḌā kare
koī
mujh ko ye aarzū vo uThāeñ naqāb ḳhud
un ko ye intizār taqāzā kare koī
rañgīni-e-naqāb meñ gum ho ga.ī nazar
kyā be-hijābiyoñ kā taqāzā kare koī
yā to kisī ko jurrat-e-dīdaār hī na
ho
yā phir mirī nigāh se dekhā kare koī
hotī hai is meñ husn kī tauhīn ai
'majāz'
itnā na ahl-e-ishq ko rusvā kare koī
----------------------------------------------------------------------------------------
----------------------------------------------------------------------------------------
Awara
----------
shahr kī raat aur maiñ nāshād o
nākārā phirūñ
jagmagātī jāgtī saḌkoñ pe āvārā
phirūñ
ġhair kī bastī hai kab tak dar-ba-dar
maarā phirūñ
ai ġham-e-dil kyā karūñ ai
vahshat-e-dil kyā karūñ
jhilmilāte qumqumoñ kī raah meñ
zanjīr sī
raat ke hāthoñ meñ din kī mohnī
tasvīr sī
mere siine par magar rakhī huī
shamshīr sī
ai ġham-e-dil kyā karūñ ai
vahshat-e-dil kyā karūñ
ye rupahlī chhāñv ye ākāsh par tāroñ
kā jaal
jaise suufī kā tasavvur jaise āshiq
kā ḳhayāl
aah lekin kaun jaane kaun samjhe jī
kā haal
ai ġham-e-dil kyā karūñ ai
vahshat-e-dil kyā karūñ
phir vo TuuTā ik sitāra phir vo
chhūTī phul-jaḌī
jaane kis kī god meñ aa.ī ye motī kī
laḌī
huuk sī siine meñ uTThī choT sī dil
par paḌī
ai ġham-e-dil kyā karūñ ai
vahshat-e-dil kyā karūñ
raat hañs hañs kar ye kahtī hai ki
mai-ḳhāne meñ chal
phir kisī shahnāz-e-lāla-ruḳh ke
kāshāne meñ chal
ye nahīñ mumkin to phir ai dost
vīrāne meñ chal
ai ġham-e-dil kyā karūñ ai
vahshat-e-dil kyā karūñ
har taraf bikhrī huī rañgīniyāñ
ra.anā.iyāñ
har qadam par ishrateñ letī huī añgḌā.iyāñ
baḌh rahī haiñ god phailā.e hue
rusvā.iyāñ
ai ġham-e-dil kyā karūñ ai
vahshat-e-dil kyā karūñ
rāste meñ ruk ke dam le luuñ mirī
aadat nahīñ
lauT kar vāpas chalā jā.ūñ mirī
fitrat nahīñ
aur koī ham-navā mil jaa.e ye qismat
nahīñ
ai ġham-e-dil kyā karūñ ai
vahshat-e-dil kyā karūñ
muntazir hai ek tūfān-e-balā mere
liye
ab bhī jaane kitne darvāze haiñ vā
mere liye
par musībat hai mirā ahd-e-vafā mere
liye
ai ġham-e-dil kyā karūñ ai
vahshat-e-dil kyā karūñ
jī meñ aatā hai ki ab ahd-e-vafā bhī
toḌ duuñ
un ko pā saktā huuñ maiñ ye aasrā bhī
toḌ duuñ
haañ munāsib hai ye zanjīr-e-havā bhī
toḌ duuñ
ai ġham-e-dil kyā karūñ ai
vahshat-e-dil kyā karūñ
ik mahal kī aaḌ se niklā vo piilā
māhtāb
jaise mullā kā amāma jaise baniye kī
kitāb
jaise muflis kī javānī jaise beva kā
shabāb
ai ġham-e-dil kyā karūñ ai
vahshat-e-dil kyā karūñ
dil meñ ik sho.ala bhaḌak uTThā hai āḳhir
kyā karūñ
merā paimāna chhalak uTThā hai āḳhir
kyā karūñ
zaḳhm siine kā mahak uTThā hai āḳhir
kyā karūñ
ai ġham-e-dil kyā karūñ ai
vahshat-e-dil kyā karūñ
jī meñ aatā hai ye murda chāñd taare
noch luuñ
is kināre noch luuñ aur us kināre
noch luuñ
ek do kā zikr kyā saare ke saare noch
luuñ
ai ġham-e-dil kyā karūñ ai
vahshat-e-dil kyā karūñ
muflisī aur ye mazāhir haiñ nazar ke
sāmne
saikḌoñ sultān-e-jābir haiñ nazar ke
sāmne
saikḌoñ chañgez o nādir haiñ nazar ke
sāmne
ai ġham-e-dil kyā karūñ ai vahshat-e-dil
kyā karūñ
le ke ik chañgez ke hāthoñ se ḳhanjar
toḌ duuñ
taaj par us ke damaktā hai jo patthar
toḌ duuñ
koī toḌe yā na toḌe maiñ hī baḌh kar
toḌ duuñ
ai ġham-e-dil kyā karūñ ai
vahshat-e-dil kyā karūñ
baḌh ke us indar sabhā kā saaz o sāmāñ
phūñk duuñ
us kā gulshan phūñk duuñ us kā
shabistāñ phūñk duuñ
taḳht-e-sultāñ kyā maiñ saarā
qasr-e-sultāñ phūñk duuñ
ai ġham-e-dil kyā karūñ ai
vahshat-e-dil kyā karūñ