Muzaffar
Warsi (born 20 December 1933 in Meerath, India died 28 January 2011) was a
prominent Urdu poet, critic, essayist, a lyricist par excellence, and scholar
of Pakistan. He was one whose work never fails to surprise. A humble man with
humble beginnings who is unafraid of experimenting. He began more than five
decades ago comprises a rich repertoire of not just Naats, but also authoring
several anthologies of Ghazals, Nazms & hycoes including his autobiography
Gaye dinon ka suraagh which is considered to be a classic. He was writing
quatrains every day for Pakistan's Renowned daily newspaper Nawa-i-Waqt.
Muzaffar
Warsi was born as Muhammad Muzaffar ud Din siddiqui into the family of Alhaaj
Muhammad Sharf ud Din Ahmad known as Sufi Warsi (Urdu: صوفی
وارثی). It was a family of landlords of
Meerath. Sufi Warsi was a scholar of Islam, a doctor and poet. He received two
titles: Faseeh ul Hind & Sharaf u shu'ara. He was the friend of Sir
Muhammad Iqbal {(Allama Iqbal (علامہ اقبال)}, Akbar Warsi, Hasrat Mohani, Josh Malih
Abadi, Ahsan Danish, Abul Kalaam Azad and Mahindar Singh Bedi. The family
raised him with deep religious grounding. He has one brother namely Dr. M. S.
Zafar Warsi who was also associated with State Bank as Assistant Director.
Muzaffar Warsi's Nephew Usman Warsi is a Singer, Music Composer and a Poet.
Usman's videos are available online as well. Muzaffar Warsi remained attached
to State Bank of Pakistan (the Central Bank of Pakistan) as Deputy Treasurer.
Muzaffar Warsi started his poetry by writing lyrics for songs for Pakistani
movies but gradually changed direction and his style of poetry became more
oriented towards praising Allah and the Islamic prophet Muhammad or in other
words he started writing Hamd and Naats. He also wrote, regularly, a stanza or
two on current affairs in the Newspaper Nawa-e-Waqt until recently.He died on
28-01-2011 in Lahore Pakistan.
Literary
work
------------------
Barf
ki Nao
Baab-e-Haram
Lehja
Noor-e-Azal
Alhamd
Hisaar
Lahoo ki Haryali
Sitaron ki Aabjoo
Kaaba-e-Ishq
Khule dareechey band hawa
Dil sey dar-e-Nabi tak
Zulm na sehna
Kalaam
ab ke
barasaat kii rut aur bhii bhaDakiilii hai
jism
se aag nikalatii hai, qabaa giilii hai
sochataa
huuN ke ab anjaam-e-safar kyaa hogaa
log
bhii kaaNch ke hain, raah bhii pathariilii hai
shiddat-e-karb
men to haNsanaa karb hai meraa
haath
hii saKht hain zanjiir kahaaN Dhiilii hai
gard
aaNkhon men sahii daaG to chehare pe nahiin
lafz
dhuNdhale hain magar fikr to chamakiilii hai
ghol
detaa hai sama'at men vo miiThaa lahajaa
kis ko
maaluum ke ye qind bhii zahariilii hai
pahale
rag-rag se merii Khuun nichoDaa us ne
ab ye
kahataa hai ke rangat hii merii piilii hai
mujhako
be-rang hii na karade kahiin rang itane
sabz
mausam hai, hawaa surKh, fizaa niilii hai
merii
paravaaz kisii ko nahiin bhaatii to na bhaaye
kyaa
karuuN zehan "Muzaffar" meraa jibariilii hai
kyaa
bhalaa mujhako paraKhane ke natiijaa nikalaa
zaKhm-e-dil
aap kii nazaron se bhii geharaa nikalaa
toDakar
dekh liyaa aaiinaa-e-dil tuune
terii
suurat ke sivaa aur bataa kyaa nikalaa
tishnagii
jam gaii patthar kii tarah honTon par
Duub
kar tere dariyaa men main pyaasaa nikalaa
---------------------------------------------------------------------------------------------------------
lab-e-Khaamosh
se izhaar-e-tamannaa chaahe
baat
karane ko bhii tasviir kaa lahajaa chaahe
tu
chale saath to aahaT bhii na aaye apanii
daramiyaaN
ham bhii na ho yuuN tujhe tanhaa chaahe
zaahiirii
aaNkhon se kyaa dekh sakegaa koii
apane
baaton pe bhii ham faash honaa chaahe
jism-poshii
ko mile chaadar-e-aflaak hamen
sar
chhupaane ke liye vusa'at -e-seharaa chaahe
Khvaab
men roye to ehasaas ho sairaabii kaa
ret
par soyen magar aaNkh men dariyaa chaahe
bheNT
chaD jaauuN na main apane hii Khair-o-shar kii
Khuun-e-dil
zabt kare zaKhm tamaashaa chaahe
zindagii
aaNkh se ojhal ho magar Khatm na ho
ek
jahaaN aur pas-e-pardaa-e-duniyaa chaahe
aaj
kaa din to chalo kaT hii gayaa jaise bhii kaTaa
ab
Khudaa-band se Khairiyat-e-fardaa chaahe
aise
tairaak bhii dekhe hain 'Muzaffar' hamane
Garq
hone ke liye bhii jo saharaa chaahe
-----------------------------------------------------------------------------------------------
maanaa
ke musht-e-Khaak se baDakar nahiin huuN main
lekin
havaa ke raham-o-karam par nahiin huuN main
insaan
huuN dhaDakate huye dil pe haath rakh
yuuN
Duubakar na dekh samundar nahiin huuN main
chehare
pe mal rahaa huuN siyaahii nasiib kii
aaiinaa
haath men hai sikander nahiin huuN main
Gaalib
terii zamiin mein likkhii to hai Gazal
tere
kad-e-suKhan ke baraabar nahiin huuN main
merii
zindagii kisii aur kii, mere naam kaa koii aur hai
mera
aks hai sar-e-aaiinaa, pase aaiinaa koii aur hai
merii
dhaDakanon men hai chaap sii, ye judaaii bhii hai milaap sii
mujhe
kyaa pataa, mere dil bataa, mere saath kyaa koii aur hai
na gae
dinon ko Khabar merii, na shariik-e-haal nazar terii
tere
des men, mere bhes men, koii aur thaa koii aur hai
vo
merii taraf nigaraaN rahe, meraa dhyaan jaane kahaaN rahe
merii
aaNkh men kaii suuraten, mujhe chaahataa koii aur hai
sholaa
huuN bhadakane kii guzaarish nahiin karataa
sach
muuNh se nikal jaataa hai koshish nahiin karataa
giratii
hui diivaar kaa hamdard huuN lekin
chaDate
hue suuraj kii parastish nahiin karataa
maathe
ke pasiine kii mahak aaye to dekhen
vo
Khuun mere jism men gardish nahiin karataa
hamdardii-e-ahabaab
se Darataa huuN 'Muzaffar'
main
zaKhm to rakhataa huuN numaaish nahiin karataa
---------------------------------------------------------------------------------------------------------------
zaKhm-e-tanhaa_ii men
Khushbuu-e-hinaa kisakii thii
saayaa diivaar pe meraa thaa sadaa kisakii thii
uskii raftaar se lipaTii rahii
merii aaNkhen
us ne muD kar bhii na dekhaa ki vafaa kis kii thii
vaqt kii tarah dabe paaNv ye
kaun aayaa hai
main aNdheraa jise samajhaa vo qabaa kis kii thii
aaNsuon se hii sahii bhar
gayaa daaman meraa
haath to main ne uThaaye the duaa kisakii thii
merii aahon kii zabaan koii
samajhataa kaise
zindagii itanii dukhii mere sivaa kisakii thii
aag se dostii us kii thii
jalaa ghar meraa
dii ga_ii kis ko sazaa aur Khataa kisakii thii
main ne biinaaiyaaN bo kar
bhii andhere kaaTe
kis ke bas men thii zamiin abr-o-havaa kis kii thii
chhoD
dii kis liye tuu ne "Muzaffar" duniyaa
justjuu sii tujhe har vaqt bataa kisakii thii
zaKhm-e-tanhaa_ii
men Khushbuu-e-hinaa kisakii thii
saayaa
diivaar pe meraa thaa sadaa kisakii thii
uskii
raftaar se lipaTii rahii merii aaNkhen
us ne
muD kar bhii na dekhaa ki vafaa kis kii thii
vaqt
kii tarah dabe paaNv ye kaun aayaa hai
main aNdheraa
jise samajhaa vo qabaa kis kii thii
aaNsuo.n
se hii sahii bhar gayaa daaman meraa
haath
to main ne uThaaye the duaa kisakii thii
merii
aahon kii zabaan koii samajhataa kaise
zindagii
itanii dukhii mere sivaa kisakii thii
aag se
dostii us kii thii jalaa ghar meraa
dii gaii
kis ko sazaa aur Khataa kisakii thii
main
ne biinaa_iyaaN bo kar bhii a.ndhere kaaTe
kis ke
bas men thii zamiin abr-o-havaa kis kii thii
chhoD
dii kis liye tuu ne "Muzaffar" duniyaa
justjuu
sii tujhe har vaqt bataa kisakii thii