Tuesday, March 2, 2010

Shaayer "Ali Ahmad Jalali".


Mousame gul abhi jaan chaman baaqi hai
Tu nahi hai teri khusbu e badan baaqi hai
Khushk honton pe tabassum ke kanwal hain laikin
Dil ke bazaar mein zakhmon ka chalan baaqi hai
Gardish e waqt se kehdo ke pareshaan na ho
Meri dahleez pe rakh de jo thakan baaqi hai
Tohfa yeh mousam e gul de gaya jaate jaate
Phool murjha gaye kaanton ki chuban baaqi hai
Log kyun lash uthaye liye jaate hain meri
Kya abhi is mein koi taar e kafan baaqi hai
Daur aaye gaye kitne magar aey arz e deccan
Tere chehre ka wahi sanwlapan baaqi hai
Aaftabon ki mein taqleeq karunga is se
Dil ke goshe mein 'Ali' ek jo kiran baaqi hai

--------------------------------------------------------------------------------------------------

DASTAK

Kaun deta hai yeh dastak mere darwaze par
Chudiyan haath ki reh reh ke chanak uthti hain
Khamoshi toot rahi hai kisi saagar ki tarah
Martaish jaisey hui jaati hai kamre ki fiza
Dharak uthi hai zara dere ko shab ki chati

Kaun deta hai yeh dastak mere darwaze par
Woh bhi is waqt ke shab bheeg chuki hai kaafi
Yaad kisi ko meri tanhaai ki aayi hogi
Aas kis ne mere chowkat se lagayi hogi
Apni ruswai ka gar is ko nahin koi khayal
Meri badnami ka kuch paas kiya to hota
Khidkiyan jaag na uthein kahin humsayon ki
Dekh le is ko agar koi yahan kya hoga
Woh bhi is waqt ke shab bheeg chuki hai kaafi

Kaun hai kis liye aayi hai iraada kya hai
Ajnabi hai ke shanasa ke koi awaara
Chan ke aati hai daraazon se hina ke laali
Phaalti jaati hai kamre mein yeh kaisi khusboo
Mera ehsaas hua jaata hai baikal baikal
Khud ba khud jaisey kadam uthte hain dar ki jaanib

Kaun deta hai yeh dastak mere darwaze par
Hans raha hai meri hairat pe khula darwaza
Saamne aankh ke dehleez padi hai khaali
Na koi jism na aanchal na koi parchayein
Na koi dast e hinayi na badan ki khushbu
De gaye dhoke kiwadon pe hawa ke jhonke
Wahem ke mere tarashe hue sab teh paikar

--------------------------------------------------------------------------------------------------

Wahi hai kal ke andheron ka saamna ab bhi
Kahin hai jaise ujaala rukha hua ab bhi

Woh baal khole kabhi is taraf se guzre teh
Mahek raha hai mere dil ka raasta ab bhi

Woh aagaye meri sanson se bhi khareeb magar
Dil wa nigah mein baaqi hai faasla ab bhi

Jahan jahan hai chalan aap ke charagon ka
Wahan wahan hai andhera badha hua ab bhi

Bujha bujha hi sahi dil ghareeb ka laikin
Na jaane kitne gharon ka hai yeh diya ab bhi

Jis aaine ko 'Ali' thod kar mein nikla tha
Kadam kadam pe isi ka hai saamna ab bhi
-----------------------------------------------------------------------------------------------

Aaftaad

Woh din teh ke teri aankh ko dekha tha
Aaj is aankh mein naquwat ke siwa kuch bhi nahi
Woh adayein jo mohabbat ka kabhi markaz thi
In mein ab talq haqarat ke siwa kuch bhi nahi
Woh jawaani ke jo thi saada masoom kabhi
Is ko ab husn ki tazayein se fursat hi nahi
Woh jabeen jo meri tasleem ko jhukh jaati thi
Aaj isey meri ibaadat ki zaroorat hi nahi
Kal gawara na thi dum bhar ko judaai meri
Aaj laikin mere saaye se bhi nafrat hai tujhey
Munasar meri hansi par thi kabhi teri hansi
Aaj mujh se meri hasti se kadurat hai tujhey
Meri Aashafta sari meri pareshaani ka
Uf woh aalam teri zulfon ki pareshaani ka
Laikin ab bhikri hui zulf sanwar jaati hai
Dekh kar haal meri chaak girebaani ka.

--------------------------------------------------------------------------------------------------

Woh jo ek rishta tere naam ka tha
sach toh yeh hai ke bade kaam ka tha

Jo tere karb mein guzra aye dost
Wahi lamha bade aaraam ka tha

Roshni ke liye ghar jalte teh
Khoob manzar woh bhari shaam ka tha

Paon teh dafan zameen mein leikin
Sir mein sauda hos e Khaam ka tha

Maan li haar hamein ne warna
Faasla zahmat e ek gaam ka tha

Kehte hain sab 'Ali' ahmed jis ko
Ek shayer koi be naam ka tha

------------------------------------------------------------------------------------------------

Aaj jalti hui har shama bujhadi jaaye
Gham ki touqeer zara aur badhadi jaaye

Kya isi waastey seencha tha lahu se apne
Jab sanwar jaaye chaman aag lagadi jaaye

Aqal ka hokum ke sahil se lagaado kashti
Dil ka israar ke tufaan se ladaadi jaaye

Duur tak dil mein dikhayi nahi deta koi
Aise veeraane mein ab kis ko sada di jaaye

Tabsera baad mein bhi qatal pay ho sakta hai
Pehle yeh laash toh raastey se hatadi jaaye

Maslehat ab toh isi mein nazar aati hai Ali
Ke hansi aaye toh ashkon mein bahadi jaaye
---------------------------------------------------------------------------------------

Laa'yi hai kis maqaam pe yeh zindagi mujhe
Mahsoos ho rahi hai khud apni kami mujhe

Dekho tum aaj mujh ko bujhate to ho magar
Kal dhoondhti phire gi bahut roshni mujhe

Tai kar raha hun mein abhi raahein saleeb ki
Aawaaz aye hayaath na dene abhi mujhe

Sukhe shajar ko phenkh dun kaise nikaal kar
Deta raha hai, saaya shajar jo kabhi mujhe

Kyun kar rahi hai mujh se sawalaat zindagi
Kehdo jawaab ki nahin fursat abhi mujhe

Kya chahta tha waqt likhna na poochiye
Hurmat qalam ki apni bachani padi mujhe

dildariyan bhi rah gayin parde mein aye 'Ali'
Lahjha badal badal ke sadaa di gayein mujhe.

Hum ne darwaza dil ka khula rakh diya
Haadsoan ke liye raasta rakh diya

Yaad andhere mein khaye na thokar teri
Hum ne sulga ke dil ka diya rakh diya

Qurbatoan ka taqadus jo manzoor tha
Darmiyan hum ne kuch faasla rakh diya

Mein ne jitni kitabein thi is door ki
Kaat kar in mein hurfe wafa rakh diya

Pairahan in ka chukar jo aayi hawa
Naam logoan ne is ka saba rakh diya

Zindagi hat gayi le ke apna badan
Haath meine jo is par zara rakh diya

Haal apna na hum aey Ali likh sake
Bas utha kar qalam baar ha rakh diya

--------------------------------------------------------------------------------------------------

kaaTii hai Gam kii raat baDe ehataraam se
aksar bujhaa liyaa hai charaaGon ko shaam se


raushan hai apanii bazm aur is ehatamaam se

kuchh dil bhii jal rahe hain charaaGon ke naam se


muddat hu_ii hai Khuun-e-tamannaa kiye magar

ab tak Tapak rahaa hai lahuu dil ke jaam se


subah-e-bahaar ham ko bulaatii rahii magar

ham khelate rahe kisii zulfon kii shaam se


har saaNs par hai maut kaa peharaa lagaa huaa

aahistaa ai hayaat guzar is maqaam se


kaaTii tamaam umr fareb-e-bahaar men

kaa.NTe sameTate rahe phuulon ke naam se


ye aur baat hai ke "Ali" ham na sun sake

aavaz us ne dii hai hamen har maqaam se

-------------------------------------------------------------------------------------------

ab chhalakte hue saaGar nahiin dekhe jaate
taubaa ke baad ye manzar nahiin dekhe jaate


mast kar ke mujhe auron ko lagaa muuNh saaqii
ye karam hosh men rah kar nahiin dekhe jaate

saath har ek ko is raah men chalanaa hogaa

ishq men rah_zan-o-rah_bar nahiin dekhe jaate


ham ne dekhaa hai zamaane kaa badalanaa lekin
un ke badale hue tevar nahiin dekhe jaate