Tuesday, October 27, 2009

Wasee Shah


Tumhare Hathon K Liye Ek Dua

Mere Mola Yeh Haseen Hath Salamat Rakhna
Aisa Lagta Hay Jo Yeh Hath Dua Ko Uthain
Khud Farishtay Chalay Aatay Hon Zamin Ki Janib
Sonp Kar Marmareeen Hathon Ki Hatheli Ko Hina
Jo Bhi Manga Woh Chup Chap Diye Jatay Hon
Mere Mola Yeh Haseen Hath Salamat Rakhna

In Ki Khushboo Say Moattar Hay Mera Sara Wajood
Inhi Hathon Main Mere Khwab Chupay Hain Mola
Unglian Mujh Ko Mohabbat Main Bhigo Deti Hain
Inhi Poron Nay Mere Dard Chunay Hain Mola
In Ki Rag Rag Main Mohabbat Hi Mohabbat Rakhna
Mere Mola Yeh Haseen Hath Salamat Rakhna

Inhi Hathon Ki Lakeeron Main Muqadar Hay Mera
Yeh Jo Konay Main Sitara Hay Sikandar Hay Mera
Khwab Say Naram Khiyalon Ki Tarah Nazuk Hain
In Kay Her Lams Main Mere Liye Chahat Rakhna
Mere Mola Yeh Haseen Hath Salamat Rakhna
Mere Mola Yeh Haseen Hath Salamat Rakhna

apne ehsas se mujhe sandal kar do”
main sadiyon se adura hoon mukamal kar do

na tumhain hosh rahay aur na mujay hosh rahay
is kadar tooot ke cahoo mujay pagal kar do

tum hatehli ko mere pyaar ki mehndi se rango
apni ankhon main mere NAAM ka KAJAL kar do

is ke saye main mere khowab dekh uthain gaay
mere cahre peh cahmakata howa anchal kar do

dhoop he dhoop hoon main toot ke barso mujh par
is kadar barsoo meri roooh main jaaal thal kar do

jaysay sehraoon main har saam howa cahlti hai
is tahrah mujh main cahlo aur mujay thal kar do

tum chupa lo mera dil-e-awat main apne Dil ki
aur mujay meri nigaoon se bhi aojal kar do

maslah hoon to nigain na charoo mujh se
apni chahat se toja se mujhay hal kar do

apne gum se kaho har wakat mere saath rahay
aik ahsaan karo is ko musalsal kar do

mujh peh cahaa jaoo kisi aaag ki sorat janaaan
aur meri zaaat ko sookha howa jangal kar do

------------------------------------------------------------------------------------

Ab Toh Mumkin Hi Nahi Unse Mulakat,
Ab Toh Urooj Pe Ponchi Hai Uski Zaat,WASI

Wohi Waday Hain Aur Rasmon Ki Zanjeerein Baqi,
Kab Badalti Hain Zamnay Ki Riwayat,WASI

Ek Woh Din Thay K Ek Dusray Ko Sochtay Thay HUm,
Ab Miltay Nahi Dono K Khayalat,WASI

Meri Har Subha Ka Aaghaz Tere Naam Se Ho,
Teri Yaadon Mein Katti Meri Har Ek Raat,WASI

Tum Kaha Aur Mere Pyaar Ka Miyaar Kahan,
Woh Kitni Saadgi Se Kar Gya Ye Baat,WASI......!!!

-------------------------------------------------------------------------------------------------

tum merii aankh ke tevar na bhulaa paaoge
ankahii baat ko samajhoge to yaad aaoon gaa

ham ne Khushiyon kii tarah dukh bhii ikatthe dekhe
safaah-e-ziist ko palaToge to yaad aaoon gaa

isii andaaz mai hote thay muKhaatib mujh se
Khat kisii aur ko likhoge to yaad aaoon gaa

sard raaton ke mahakate hue sannaaton mein
jab kisii phuul ko chuumoge to yaad aaoon gaa

ab tere ashk main hoontoon se churaa letaa hoon
haath se Khud inhein poonchhoge to yaad aaoon gaa

shaal pahanaayegaa ab kaun disambar mein tumhein
baarishoon mein kabhii bhiigoge to yaad aaoon gaa

aaj tum mahafil-e-yaaraan pe ho magaruur bahut
jab kabhii tuut ke bikharoge to yaad aaoon gaa

haadase aayenge jiivan mein to tum hoke niDhaal
kisii diivaar ko thaamoge to yaad aaoon gaa

is mein shaamil hai merii baKht kii taariikii bhii
tum siyaah rang jo pahanoge to yaad aaoon gaa
-------------------------------------------------------------------------------------------------

kesa maftooh sa manzar hai kai sadion say
meray qadmon pe mera sar hai kai sadion say

khof rehta hai k sailaab na lay jaye kahee'n
mere palko'n pe tera ghar hai kai sadio'n say

uss kay pani mein bhi pehlay sa woh thehrao nahi
ye jo bechain samander hai kai sadio'n say

ashk aankhon mein sulgtay howe so jatay hain
yeh meri ankh jo banjar hai kai sadion say

kon kehta hai mulaqat meri aaj ki hai
tu meri rooh ke ander hai kai sadio'n say

yeh mujhe sans bhi khul ke nahi lenay daita
meri sheh rag pe jo khanjar hai kai sadio'n say

mein ne jiss ke liye her shakhs ko naraz kia
rotth jaye na yehee darr hai kai sadio'n say

uss ki aadat hai jarhain kaat-te rehnay ki *wasi*
jo meri zaat ka mehwar hai kai sadio'n say
-------------------------------------------------------------------------------------------------

Sochta hon k usey neend bhi aati hogi
Ya faqat meri tarah ashk bahaati hogi

Woh meri shakal mera naam bhulane wali
Apni tasveer se kyaa aankh milaati hogi

Sham hote hi wo chaukhat pe chala kar shammaein
Apni palkon pe kaii khwaab sajaati hogi

Us ne silwaa bhi liye honge siyaah rang libaas
Ab Moharram ki tarah Eid manaati hogi

hoti hogi mere bosay ki talab main paagal
Jab bhi zulfon main koi phool sajaati hogi

Dil ki masoom ragein khud hi sulagti hongi
Juhin tasveer ka kona wo jalaati hogi

Roop de kar mujhe is main kisi shehzade ka
Apne bachon ko kahaani woh sunaati hogi
-------------------------------------------------------------------------------------------------

Tum meri aankh k tevar naa bhula paaoge
ankahi baat ko samjho ge tau yaad aaunga

hum ne khushiyon ki tarha dukh bhi ikhat_te dekhe
safha_e_zeest ko palto ge tau yaa aaunga

iss judaai main tum andar se bikhar jaaoge
kisi maazoor ko deko ge tau yaad aaunga

issi andaz main hote the mukhaatib mujh se
khat kisi aur ko likho ge tau yaad aaunga

meri khushboo tumhe khole gi gulaabon ki tarha
tum agar khud se naa bolo ge tau yaad aaunga

sard raaton k mehekte hue sannaton main
jab kisi phool ko chumoge tau yaad aaunga

aaj tau mehfil_e_yaaraan pe ho maghroor bohat
jab kabhi toot k bikhroge tau yaad aaunga

ab tau ye ashk main honton se chura leta hoon
haath se khud inhe poonchhoge tau yaad aunga

shawl pehnaaega ab kon december main tumhe
baarishon main kabhi bhigo ge tau yaad aunga

haadse aaenge jeevan main tau tum ho k nidhaal
kisi deevaar ko thaamoge tau yaad aunga

iss may shaamil hai mere bakht ki taariki bhi
tum siyaah rang jo pehnoge tau yaad aunga
-------------------------------------------------------------------------------------------------

Samunder mein utarta hoon to...aankhein bhiig jaati hain
Teri aankhoon ko parhta hoon to...aankhein bhiig jaati hain

Tumhara naam likhne ki ijaazat chinn gaii jab se
Koii bi lafz likhta hoon to...aankhein bhiig jaati hain

Teri yaadoon ki khushboo khirkioon mein raqs karti hai
Tere gham mein sulagta hoon to...aankhein bhiig jaati hain

Main hans ke jheel leta hoon judaii ki sabhi rasmein
Gale jab uske lagta hoon to...aankhein bhiig jaati hain

Na jaane ho giya hoon is qadar hassaas kab se
Kisi se baat karta hoon to...aankhein bhiig jaati hain

Woh sab guzre hue lamhaat mujh ko yaad aate hain
Tumhare khatt jo parhta hoon to...aankhein bhiig jaati hain

Main saraa din bohat masroof rehta hoon magar yoonhi
Qadm chokhat par rakhta hoon to...aankhein bhiig jaati hain

Har ik muflis ke maathe par alam ki daastaanein hain
koii bi chehraa parhta hoon to...aankhein bhiig jaati hain

Barhe logoo ke oonche badnumaa aur sard mahaloo ko
Gariib ki aankhoon se taktaa hoon to...aankhein bhiig jaati hain

Tere koochay se mera talluk ab waajbi saa hai
Magar jab bi guzarta hoon to...aankhein bhiig jaati hain

Hazaroo mausmoo ki humraani hai mere dil par
"Wasi" main jab bi hanstaa hoon to...aankhein bhiig jaati hain

apni khatir jaggey ho soye ho
apni khatir hansey ho roye ho
kis liye aaj khoye khoye ho
tum ne aansu bahut piye apney
tum bahut saal reh liye apney
ab mreey sirf merey ho kar raho
husan hi husan ho zahaanat ho
ishq hoon main to tum mohabbat ho
tum meri bas meri amaanat ho
ji liye jis qadar jiye apney
tum bahut saal reh liye apney
ab mreey sirf merey ho kar raho
rehtey ho ranj o gham ke gheron main
dukh ke aaseb ke baseron main
kaisey choRon tumhein andheron main
tum ko de doon ga sab diye apney
tum bahut saal reh liye apney
ab mreey sirf merey ho kar raho
tum azal se dukhon ke derey ho
chaahey khud ko ghamon se gherey ho
jab se peda huye ho merey ho
aaj kholeiN ge lab siye apney
tum bahut saal reh liye apney
ab mreey sirf merey ho kar raho
ab mujhey apney dard sehney do
dil ki har bat dil se kehney do
meri baNhon main khud ko behney do
muddaton zakhm khud siye apney
tum bahut saal reh liye apney
ab mreey sirf merey ho kar raho

------------------------------------------------------------
dayaar-e-Gair men kaise tujhe sadaa dete
tuu mil bhii jaataa to tujhe gaNvaa dete

tumhiin ne ham ko sunaya na apna dukh varna
dua vo karte ke ham aasmaan hila dete

hamen ye zom raha ab ke vo pukarenge
unhen ye zid thi ke har baar ham sada dete

vo teraa Gam thaa ke taasiir mere lahaje kii
ke jis ko haal sunaate use rulaa dete

tumhen bhulana hii avval to dastaaras men nahiin
jo iKhtiyaar bhii hotaa to kyaa bhulaa dete

tumhari yaad ne koii javaab hii na diyaa
mere Khayaal ke aaNsuu rahe sadaa dete

samaton ko main taa-umr kostaa Syed
vo kuchh na kahate magar honTh to hilaa dete

---------------------------------------------------------------
jis ki aankho main muhabbat ka sitara hoga
ek din aye ga wo shaks humara hoga

jis ke honay say meri saans chal kerti hay
kis terha us k bina apna guzzara hoga