havas-nasiib nazar ko kahiin qaraar nahiin
main muntazir huun magar teraa intazaar nahiin
hamiin se rang-e-gulistaan hamiin se rang-e-bahaar
hamiin ko nazm-e-gulistaan pe ikhtiyaar nahiin
abhii na chhed mohabbat ke giit ae mutarib
abhii hayaat kaa mahaul Khush-gavaar nahin
tumhaare ahd-e-wafaa ko ahad main kyaa samjhun
mujhe Khud apanii mohabbat kaa aitabaar nahiin
na jaane kitane gile is men muztarib hai nadiim
wo ek dil jo kisii kaa gilaa_gusaar nahiin
gurez kaa nahiin qaayal hayaat se lekin
jo soz kahuun to mujhe maut naagavaar nahiin
ye kis maqaam pe pahunchaa diyaa zamaane ne
ki ab hayaat pe teraa bhii iKhtiyaar nahiin