arz-e-niyaaz-e-ishq ke qaabil nahin raha
jis dil pe naaz thaa mujhe vo dil nahin raha
jaata hun daaG-e-hasarat-e-hasti liye hue
hun shamma-e-kushta darKhur-e-mahafil nahin raha
marne ki aye dil aur hi tadbir kar ki main
shaayan-e-dast-o-bazuu-e-qaatil nahiin raha
ba-ruu-e-shash jihat dar-e-aaiinaa-baaz hai
yaan imtiaaz-e-naakis-o-kaamil nahiin raha
vaa kar diye hain shauq ne band-e-naqaab-e-husn
Gair az nigaah ab koii haayel nahiin raha
go main rahaa rahiin-e-sitam haaye rozgaar
lekin tere Khayaal se Gaafil nahiin raha
dil se havaa-e-kisht-e-vafaa mit ke vaan
haasil sivaaye hasrat-e-haasil nahiin raha
bedaad-e-ishq se nahiin darta magar'Asad'
jis dil pe naaz tha mujhe vo dil nahiin raha