aah ko chaahiye ik umr asar hone tak
kaun jiitaa hai terii zulf ke sar hone tak
daam har mauj men hai halqaa-e-sad_kaam-e-nahang
dekhen kyaa guzare hai qatare pe gauhar hone tak
aashiqii sabr-talab aur tamannaa betaab
dil kaa kyaa rang karuun Khuun-e-jigar hone tak
ham ne maanaa ke taGaaful na karoge lekin
Khaak ho jaayenge ham tum ko Khabar hone tak
partav-e-Khuur se hai shabanam ko fanaa kii taaliim
main bhii huun ek inaayat kii nazar hone tak
yak_nazar besh nahiin fursat-e-hastii Gaafil
garmii-e-bazm hai ik raqs-e-sharar hone tak
Gam-e-hastii kaa'Asad'kis se ho juz marg ilaaj
shammaa har rang men jalatii hai sahar hone tak