jinhen main Dhundhta tha aasmanon men zaminon men
vo nikale mere zulmat-e-Khaana-e-dil ke makinon men
mahine vasl ke ghadiyon kii suurat udate jaate hain
magar ghadiyan judai kii guzarti hain mahinon men
mujhe rokega tuu ai naa-Khuda kya garq hone se
ki jin ko Duubanaa hai Duub jaate hain safinon men
jala sakti hai sham-e-kushta ko mauj-e-nafas un ki
ilaahi kyaa chhupaa hotaa hai ahal-e-dil ke sinon men
tamanna dard-e-dil kii ho to kar Khidamat faqiron kii
nahin milta ye gauhar badashahon ke Khazinon men
muhabbat ke liye dil Dhundh koi Tutnevala
ye vo maye hai jise rakhte hain naazuk aab-ginon men
bura samjhuN unhen mujh se to aisa ho nahin sakta
ki main Khud bhii to hun"Iqbal"apne nuktaachinon men
------------------------------------------------------------------------
zulmat-e-Khana-e-dil=darkened house that is heart
makiin=resident
naaKhuda=boatsman
garq=drowning
safiinaa=boat
sham-e-kushtaa=extinguished candle/flame
mauj-e-nafas=waves of(one's)breath
gauhar=pearl
Khaziinon=riches/treasure
aab_giinaa=delicate decanter(wine container)made of glass
nuktaachiin=critic