ye
ishq ne dekhaa hai ye aql se pinhaaN hai
qatare
men samandar hai zarre men bayaabaaN hai
ai
paikar-e-mahabuubii main kis se tujhe dekhuuN
jis
ne tujhe dekhaa hai vo diidaa-e-hairaaN hai
sau
baar teraa daaman haathon men mere aayaa
jab
aaNkh khulii dekhaa apanaa hii girebaaN hai
ye
husn kii maujen hain yaa josh-e-tamannaa hai
us
shoKh ke honThon par ik barq sii larazaaN hai
'Asghar'
se mile lekin 'Asghar' ko nahiin dekhaa
ashaar
men sunte hain kuchh kuchh vo numaayaaN hai
-------------------------------------------------------------------------------
Ye
raaz hai meri zindgi ka
pahne
huye hoon kafan Khudi ka
phir
nashtar-e-Ghum se cherte hain
ik
tarz hai ye bhi dil dahi ka
o
lafz-o-baya main chupane wale
ab
qasd hai aur Khamoshi ka
marna
to hai ibtada ki ik bat
jina
hai kamal moontahi ka
haa
sina golon ki tarah kar chak
de
mar ke saboot zindgi ka
--------------------------------------------------------------------------------------
Ye
mujh se pochiye kya justaju main lazzat hai
faza-e-dahar
main tahlil ho gaya hoon mai
hatake
shisha-o-sagar hujom-e-masti main
tamam
arsa-e-alam pe cha gaya hoon mai
ura
hoon jab to falak pe liya hai dam ja kar
zameen
ko tor gaya hoon jo rah gaya hoon mai
rahi
hai Khak ke zarroon main bhi chamak meri
kabhi
kabhi to sitaroon main mil gaya hoon mai
-------------------------------------------------------------------------------------
paas-e-adab
main josh-e-tamanna liye huwe
mai
bhi hoon ek hobab main dariya liye huwe
rag-rag
main aur kuch na raha joz Khayal-e-dost
us
shoK ko hoon aj sarpa liye huwe
sarmaya-e-hayat
hai hirmane-e-ashiqi
hai
sath ek sorat-e-zeba liye huwe
josh-e-junoon
main chot gaya astan-e-yar
rote
hain mounh main daman-e-sahra liye huwe
`Asghar`
hujom-e-dard-e-Garibi main uski yaad
ai
hai ik tilismi tamanna liye huwe
------------------------------------------------------------------------------------------
majoo
ka aks hai Khat-e-jam-e-sharab main
ya
Khoon uchal raha hai rag-e-mohtab main
wo
mot hai k kahte hain jisko sukoon sab
wo
ain zindgi hai jo hai iztarab main
dozakh
bhi ek jalwa-e-firdoos se husn hai
jo
is se bekhabar hain wahi hain azab main
us
din bhi meri rooh thi mahw-e-nishat-e-did
moosa
ulajh gae the sawal-o-jawab main
mai
iztarab-e-shoq kahoo ya jamal-e-dost
ik
barq hai jo kaondh rahi hai naqaab main
----------------------------------------------------------------------------------------
Ik
alam-e-hairat hai fana hai na baqa hai
hairat
bhi ye hai k kya janiye kya hai
sao
bar jala hai to ye sao bar bana hai
hum
sokhta janoo ka nasheman bhi bala hai
honthoo
pe tabassum hai k ek barq-e-bala hai
ankhoo
ka ishara hai k sailab-e-fana hai
sunta
hoon bare gorr se afsana-e-hasti
kuch
Khwab hai kuch asl hai kuch tarz-e-ada hai
hai
tere tasawor se yaha noor ki barish
ye
jan-e-hazi hai k shabistan-e-hira hai
---------------------------------------------------------------------------------------------
Khuda
jane kaha hai `Asghar`-e-dewana barsoo se
ki
us ko DhoonDhte hain ka`baba-o-butKhana barsoo se
tarpana
hai na jalana hai na jalkar Khak hona hai
ye
kyun soi hoi hai fitrat-e-parwana barsoo se
koi
aisa nahi yaar ab k jo is dard ko samjhe
nahi
maloom kyun Khamosh hai diwana barasoo se
hasinoo
par na rang aaya na phooloon main bahar aii
nahin
aya jo lab par naGma-e-mastana barsoo se
-----------------------------------------------------------------------------------------------------------
Husn
ko wusaten jo deen ishq ko hausla diya
Jo
na mile na mit sake mujh ko wo mudd'aa diya
Haath
me leke jaam-e-maey aaj wo muskura diya
Aql
ko sard kar dia ruh ko jagmaga diya
Dil
pe liya hai daag-e-ishq khoke bahaar-e-zindagi
Ik
ghul-e-tar ke waaste mainey chaman lutaa diya
Kuchh
to kaho ye kya hua tum bhi the saath kya
Ghum
me yah kyun suroor tha dard ne kyun maza diya
Ab
na yah meri zaat hai ab na ye kaaenaat hae
Mainey
nawa-e-ishq ko saaz se yun mila diya
Aks
jamaal-e-yaar ka aainaa-e-khudi me dekh
Yah
ghum-e-ishq kya dia mujhse mujhe chhipa diya
Hashr
me aaftaab-e-hashr aur wo shor-e-al'amaan
'Asghar'-e-butparast
ne zulf ka waasta diya
aalaam-e-rozgaar
ko aasaaN banaa diyaa
jo
gham huaa, use gham-e-janaaN banaa diyaa
maiN
kaamyaab-e-deed bhii, mahruum-e-deed bhii
jalvoN
ke aZhdahaam ne hairaaN banaa diyaa
yuuN
muskuraye, jaan si kaliyoN meN paR gayii
yuuN
lab-kushaa hue ki gulistaaN banaa diyaa
voh
shorisheN, nizaam-e-jahaaN jinke dam se hai
jab
muKhtasar kiyaa unheN insaaN banaa diyaa
aye
sheikh! voh baseet haqiqat hai kufr kii
kuchh
qaid-o-rasm ne jise iimaaN banaa diyaa
ham
us nigaah-e-naaz ko samjhe the neshtar
tumne
to muskuraa ke rag-e-jaaN banaa diyaa