Maan Ka Khawab
-------------------------
Mein Soyi Jo Ek Shab To
Dekha Ye Khawab
Badha Aur Jis Say Mera
Iztarab
Ye Dekha Ke Mein Ja
Rahi Hun Kahin
Andhera Hai Aur Rah
Milti Nahin
Larazta Tha Der Se Mera
Baal Baal
Qadam Ka Tha Dehshat Se
Uthna Mahal
Jo Kuch Hosla Pa Ke Aagay
Badhi
To Dekha Qitar Aik Ladkon
Ki Thi
Zumurad Si Poshak Pehne
Huay
Diye Sub Ke Hathon Mein
Jalte Huay
Woh Chup Chap Thay Agay
Peeche Rawaan
Khuda Jaane Jaana Tha
Un Ko Kahan
Iss Soch Mein Thi Ke
Mera Pisar
Mujhe Uss Jamaat Mein
Aya Nazar
Woh Peche Tha Aur Taez
Chalta Na Tha
Diya Uss Ke Hathon Mein
Jalta Na Tha
Kaha Mein Ne Pehchan
Ker, Meri Jaan!
Mujhe Chor Ker Aa Gye
Tum Kahan?
Judai Mein Rehti Hun
Main Be-Qarar
Paroti Hun Her Rouz
Ashkon Ke Haar
Na Perwa Humari Zara
Tum Ne Ki
Gye Chor, Achi Wafa Tum
Ne Ki!
Jo Bache Ne Dekha Mera
Peach O Taab
Diya Uss Ne Munh Phair
Ker Yun Jawab
Rulati Hai Tujh Ko
Juddai Meri
Nahin Uss Mein Kuch Bhi
Bhalai Meri
Ye Keh Ker Vo Kuch Dair
Tak Chup Raha
Diya Phir Dikha Ker Ye
Kehne Laga
Samajhti Hai Tu Ho Gaya
Kya Issay?
Tere Aanasuon Ne
Bhujaya Issay!