zikr-e-shab-e-firaaq se vahashat use bhii thii
merii tarah kisii se muhabbat use bhii thii
mujh ko bhii shauq thaa naye cheharon kii diid kaa
rastaa badal ke chalane kii aadat use bhii thii
us raat der tak vo rahaa mahv-e-guftaguu
masruuf main bhii kam thaa faraaGat use bhii thii
sunataa thaa vo bhii sab se puraanii kahaaniyaaN
taazaa rafaaqaton kii zaruurat use bhii thii
mujh se bichhaD ke shahar men ghul mil gayaa vo shaKhs
haalaaNke shahar bhar se raqabat use bhii thii
vo mujh se baDh ke zabt kaa aadii thaa jii gayaa
varnaa har ek saaNs qayaamat use bhii thii
hamaaraa kyaa hai ke ham to chiraaG-e-shab kii tarah
agar jale bhii to bas itanii raushanii hogii
ke jaise tund andheron kii raah men juganuu
zaraa sii der ko chamake chamak ke kho jaaye
phir is ke baad kisii ko na kuchh sujhaa_ii de
na shab kaTe na suraaG-e-sahar dikhaa_ii de
hamaaraa kyaa hai ke ham to pas-e-Gubaar-e-safar
agar chale bhii to bas itanii raah tay hogii
ke tez havaaon kii zard maa_il naqsh-e-qadam
zaraa sii der ko ubhare ubhar ke mit jaaye
phir us ke baad na raastaa na rah_guzar mile
hadd-e-nigaah talak dasht-e-bekinar mile
hamaarii simt na dekho ke ko_ii der men ham
qabiilaa-e-dil-o-jaan judaa hone vaale hain
base basaaye huye shahar apanii aaNkhon ke
misal-e-khaanaa-e-viiraan ujaDane vaale hain
havaa kaa shor ye hii hai to dekhate rahanaa
hamaarii umar ke Khemen ukhaDane vaale hain
ret par likh ke meraa naam miTaayaa na karo
aaNkhen sach bolatii hain pyaar chupaayaa na karo
log har baat kaa afsaana banaa lete hain
sab ko haalaat kii rudaad sunaayaa na karo
ye zaruurii nahiin har shaKhs masiihaa hii ho
pyaar ke zaKhm amaanat hain dikhaayaa na karo
shahar-e-ehasaas men pattharaav bahut hain 'Mohsin'
dil ko shiishe ke jharonkhon men sajaayaa na karo
bichhaD ke mujh se kabhii tuu ne ye bhii sochaa hai
adhuuraa chaaNd bhii kitanaa udaas lagataa hai
ye vasl kaa lamhaa hai ise raayegaaN na samajh
ke is ke baad vahii duuriyon kaa saharaa hai
kuchh aur der na jhaDataa udaasiyon kaa shajar
kise Khabar tere saaye men kaun baiThaa hai
ye rakh-rakhaao muhabbat sikhaa ga_ii us ko
vo ruuTh kar bhii mujhe muskuraa ke milataa hai
main kis tarah tujhe dekhuuN nazar jhijhakatii hai
teraa badan hai ke ye aa_iinon kaa dariyaa hai
Dil ne tanha jhaili raat
Hijr ki raat, sahaili raat
Din waale kab boojh sake
Mushkil shaam pahaili raat
Ik safe ki tashreehein
Chand, chakor,chanbaili, raat
Din apne har dard ka dost
Is ki aik sahaili raat
Ik sunsaan nagar har saans
Ik weeraan hawaili raat
Is ka roop har kie dhoop
Meri sard hathaili raat
Is ki aankh se chalke shaam
Us ki zulf se khaili raat
Mohsin ke anjaam ke naam
Hijr ki naii nawaili raat
Jub zakh'm dehakne waale hon
Aur khushboo ke paigham millein
Aur apne dareeda daaman ke
Jub chaak sillein
Dil dukhta hai
Jub aankhein khud se khwaab bunnein
Khwaabon ma bisre chehron ki
Jub bheeR lagge
Us bheeR ma tum kho jaao
Dil dukhta hai
Jub hub's baRhe tanhaaii ka
Jub khwaab jalle
Jub aankh bujhe
Tum yaad aao
Dil dukhta hai
Chehry Parrta Ankhein Likhta Rehta Hoon
Mein Bhi Kaisi Batein Likhta Rehta Hoon
Sary Jism Darakhton Jaisy Lagty Hein
Or Banhoo Ko Shakhein Likhta Rehta Hoon
Tujh Ko Khat Likhny K Tevar Bhool Gaey
Aarhi Tirchhi Satrein Likhta Rehta Hoon
Tere Hijar Me Or Mujhy Kiya Karna He
Tere Naam Kitabein Likhta Rehta Hoon
Teri Zulf K Saey Dheyan Me Rehty Hein
Mein Subhoon Ko Shamein Likhta Rehta Hoon
Apny Peyar Ki Phool Mehakti Rahoon Me
Logon Ki Deewarin Likhta Rehta Hoon
Tujh Se Mil Kar Sary Dukh Dohraon Ga
Hijar Ki Sari Batein Likhta Rehta Hoon
Sokhy Phol Kitabein Zakhum Judai K
Teri Sab Soghatin Likhta Rehta Hoon
Os Ki Bheegi Palkein Hansti Rehti Hein
Mohsin Jab Tak Ghazlein Likhta Rehta Hoon
mar hi dal mujhe chasm-e-ada se pahle
apni manzil ko pahunch jaun qaza se pahle
ik nazar dekh lun a jao qaza se pahle
tum se milne ki tamanna hai Khuda se pahle
hashr k roz main puchunga Khuda se pahle
tu ne roka nahin kyun mujhko khata se pahle
ai meri maut thahar unko zara ane de
zahar ka jam na de mujhko dawa se pahle
hath pahunche bhi na the zulf dota tak "Momin"
hathkari dal di zalim ne khata se pahle
Maghror hi sahi magar acha bohat laga
Wo ajnabi to tha per apna laga
Rotha hua tha hans to para muj ko dekh kar
muj ko is qadar dilasa boht laga
Wo jis k dam qadam se theem basti ki ronakain
Basti ujar gai to akela bohat laga
Kohar main jaisay khazan ka chand
Mailay libas mai wo pyara bohat laga
Resham pehn k bhi mery qeemat barh na saki
Khaddar bhi us k jisam per mehnga bohat laga
Mohsin jab aainey pe meri sans jam gai
Mujh ko khud apna aks be dundhla bohat laga