Sunday, February 6, 2011

Khumaar Naves-Wasi

Wasi Shah is Asian Great Urdu poet from Punjab Pakistan. He is wellknown famous and most favorite of teens college girls all age of guys and all teacher professor well educated persons.

Wais Shah’s poetry books include “Mujhe Sandal Ker do” and his nazams include “Kash main tere Haseen Hathon ka Kangan Hota”. “Aankhein bheeg jaati hain”. and many more nice potry. He is very great and well mannered person, Asian Pakistani are proude of him.

-------------------------------------------------------------------------------------------------

Maa! Mujhe Neend Nahi ate hai
Aik Mudat se Mujhe Neend nahi ate hai
Maa! Mujhe LoorY SuNaoOo nA
SuLa DoNa Mujhe

Maa! Mujhe Neend Nahi ate hai

Rat jagey ab tu Muqadar hain Meri pulkon ka
Neend aye tu liye ate hai bagdad ki Yaad
Ankh lagte he koi bewa utha dete hai
Pait kitna he bharon bhook nahi Mitti hai

jalte Basra ki Mujhe Piyass jaga dete hai
koi qandhar ki waddi se bulta hai Mujhe
zikar qandoz ka aye tu mujhe lagta hai
kat ker sar koi hansta hia,jalata hia mujhe
bomb ki awazain mujhe kuch nahi kehti hain maagar
zakham in bacho ke sone nahi dete hian mujhe
Maa Meri ankhian tu pather ki hue jate hian
nojawaan lashey yeh rone nahi dete hian mujhe
Mere seene per rakho hath

RuLa DoNa Mujhe....!
Maa!Mujhe LorrY SuNaoOo Na
SuLa DoNa Mujhe....!
Maa! Mujhe Neend Nahi ate hai
Aik Mudat se Mujhe Neend nahi ate hai....!


------------------------------------------------------------------
Eik Masoom Takaddus Me Bhigoya Huwa Lams,
Kitna Pakiza Hay Ehsas Me Dhoya Huwa Lams.

Ye Tere Jism Ki Khushbu Ka Sonehra Ehsas,
Jis Terha Chand K Haaley Me Paroya Huwa Lams.

Us K Hontoon Ko Me Chhu Loon To Gumaan Hota Hay,
Jese Jannat K Gulaboon Me Daboya Huwa Lams.

Jo Meri Rooh Me Utrey He Chale Jaate Ho,
Ik Nae Rang Me Ubhrey Ga Ye Boya Huwa Lams.

Bhegi Khusbo Mae Basa, Wasl Me Bhega Bhega,
Kitna Masoom Hay Pehlo Me Ye Soya Huwa Lams.

Tishnagi Aan Basi Hay Meri Pooroon Me WASI,
Dhondta Phirta Hun Muddat Se Main Khoya Huwa Lams.
 
 
Te Ankhun K Haseen Jaal Me Aa Jaon Ga Mai,
Mujh Ko Lagta Hai Teri Chaal Me Aa Jao Ga Mai.

Zindagi Baad Tere Hona Thi Mushkil Lekin,
Ye Na Socha Tha K Is Haal Me Aa Jao Ga Mai.

[ "Dekh Kr Us Ko Mujhe Yaad Kre Gi Dunya,
Eik Din Us K Khadokhaal Me Aa Jao Ga Mai." ]

Kitne Mosam The Jo De Kr Mujhe Taaney Guzrey,
Tum To Kehte They K Ik Saal Me Aa Jaon Ga Mai.

Sur Me Aa Jaye Ga Jewan Tere Jane Se,
Tere Aane Se Kisi Taal Me Aa Jao Ga Mai.
 
 

Abi to ishq me aisa b haal hona ha

K ashk rokna b tm se mahaal hona ha


Tmain khber ha nae tum to lot jao gy
Tmhary hijer me lmha be saal hona ha

Humari roh py jeb be azaab utrain gy
Tmhari yadon ko es dil ke dhaal hona ha

Milain ge hmko be apny naseeb ke khushian
Bus entazar ha k kb ye kmaal hona ha

Her ek shekhs chaly ga hmari rahoon per
Mohabbton me hmain wo misaal hona ha

WASI mjh ko yaqeen ha k wo lot aye ga
Ussy be apny be kiye ka mlaal hona ha!

-------------------------------------------------------------------------------------------------

kaash main tere hasiin haath kaa kangan hotaa 
------------------------------------------------------------------ 
tuu baDe pyaar se ba.De chaao se baDe aramaan ke saath 
apanii naazuk sii kalaaii men chaDhaatii mujh ko 
aur betaabii se furqat ke KhizaaN lamhon men 
tuu kisii soch mein Duubii jo ghumaatii mujh ko 
mai.n tere haath kii Khushbuu se mahak saa jaataa 
jab kabhii muuD men aa kar mujhe chuumaa karatii 
tere honThon kii shiddat se main dahak saa jaataa 
 
raat ko jab bhii tuu niindo.n ke safar par jaatii 
marmarii haath kaa ik takiyaa banaayaa karatii 
main tere kaan se lag kar kaii baaten karataa 
terii zulfon ko tere gaal ko chuumaa karataa 
jab bhii tuu band qabaa kholane lagatii jaanaaN 
apanii aaNkhon ko tere husn se kheraa karataa 
mujh ko betaab saa rakhataa terii chaahat kaa nashaa 
mai.n terii ruuh ke gulashan mein mahakataa rahataa 
mai.n tere jism ke aa.Ngan me.n khanakataa rahataa 
kuchh nahiin to yahii benaam saa bandhan hotaa 
 
kaash main tere hasiin haath kaa kangan hotaa 
 
 
dayaar-e-Gair men kaise tujhe sadaa dete 
tuu mil bhii jaataa to tujhe gaNvaa dete 
 
tumhiin ne ham ko sunaayaa na apanaa dukh varanaa 
duaa vo karate ke ham aasamaan hilaa dete 
 
hamen ye zom rahaa ab ke vo pukaarenge 
unhen ye zid thii ke har baar ham sadaa dete 
 
vo teraa Gam thaa ke taasiir mere lahaje kii 
ke jis ko haal sunaate use rulaa dete 
 
 
tumhen bhulaanaa hii avval to dastaaras men nahiin 
jo iKhtiyaar bhii hotaa to kyaa bhulaa dete 
 
tumhaarii yaad ne koii javaab hii na diyaa 
mere Khayaal ke aaNsuu rahe sadaa dete 
 
sama'ton ko main taa-umr kosataa Syed
vo kuchh na kahate magar honTh to hilaa dete 
 
 
tum merii aaNkh ke tevar na bhulaa paaoge 
ankahii baat ko samajhoge to yaad aauuNgaa 
ham ne Khushiyo.n kii tarah dukh bhii ikaTThe dekhe 
safaah-e-ziist ko palaToge to yaad aauuNgaa 
 
isii andaaz men hote the muKhaatib mujh se 
Khat kisii aur ko likhoge to yaad aauuNgaa 
 
sard raaton ke mahakate hue sannaaTon men 
jab kisii phuul ko chuumoge to yaad aauuNgaa 
ab tere ashk main honThon se churaa letaa huuN 
haath se Khud inhen ponchhoge to yaad aauuNgaa 
 
shaal pahanaayegaa ab kaun disambar men tumhen 
baarishon men kabhii bhiigoge to yaad aauuNgaa 
 
aaj tum mahafil-e-yaaraaN pe ho maGaruur bahut 
jab kabhii TuuT ke bikharoge to yaad aauuNgaa 
 
haadase aayenge jiivan me.n to tum hoke niDhaal 
kisii diivaar ko thaamoge to yaad aauuNgaa 
 
is men shaamil hai merii baKht kii taariikii bhii 
tum siyaah rang jo pahanoge to yaad aauuNgaa 
--------------------------------------------------------------------------------------------------
Sumandar Mein Utarta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain
Teri Aankhon Ko Parhta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Tumhara Naam Likhne Ki Ijazat Chhin Gayi Jab Se
Koi Bhi Lafz Likhta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Teri Yaadon Ki Khushbu Khirkiyon Mein Raqs Karti hay
Tere Gham Mein Sulagta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Main Hans K Jheel Leta Hoon Judai Ki Sabhi Rasmein
Gale Jab Uss K Lagta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Na Jane Ho Gaya Hoon Iss Qadar Hassas Main Kab Se
Kisi Se Baat Karta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Wo Sub Guzre Hue Lamhat Mujh Ko Yaad Aate Hain
Tumhare Khat Jo Parhta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Main Saara Din Bahot Masroof Rehta Hoon Magar Junhi
Qadam Choukhat Pe Rakhta Hoon Tou aankhen Bheeg Jaati Hain

Her Ek Muflis K Maathe Per Alum Ki Daastanen Hain
Koi Chehra Bhi Parhta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaate Hain

Bare Logon K Oonche Badnuma Aur Sard Mahlon Ko
Ghareeb Aankhon Se Takta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Tere Kooche Se Ab Mera Ta'alluq Wajbi Sa Hay
Magar Jab Bhi Guzarta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Hazaron Mausamon Ki Hukmarani Hay Mere Dil Per
Wasi Main Jab Bhi Hansta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain
 
 
Tre Gale Mein Jo Banhon Ko Daal Rakhte Hain
Tujhe Manane Ka Kaisa Kamal Rakhte Hain

Tujhe Khabar Hay Tujhe Sochne kI khatir
Bahot Se Kaam Muqaddar Pe Taal Rakhte Hain

Koi Bhi Faisla Hum Soch Kar Nahi Karte
Tumhare Naam Ka Sikka Uchhaal Rakhte Hain

Tumhare Ba'ad Ye Aadat Si Ho Gayi Apni
bikharte Sookhte Patte Sanbhaal Rakhte Hain

Khushi Si Milti Hay Khud ko Aziyyaten De Kar
So Jaan Boojh K Dil Ko Nidhaal Rakhte Hain

Kabhi Kabhi Wo Mujhe Hans K Dekh Lete Hain
Kabhi Kabhi Mera Behad Khayaal Rakhte Hain

Tumhare Hijr Main Ye Haal ho Gaya Apna
Kisi Ka Khat Ho Usse Bhi Sanbhaal Rakhte Hain

Khushi Mile Tou Tere Ba'ad Khush Nahi Hote
Hum Apni Aankh Mein Her Dam Malaal Rakhte Hain

Zamane Bhar Se Chhupa Kar Wo Apne Aanchal Mein
Mere Wujood K Tukre Sanbhaal Rakhte Hain

Kuchh Iss Liye Bhi Tou Behaal ho Gaye Hum Log
Tumhari Yaad Ka Behad Khayaal Rakhte Hain
----------------------------------------------------------------------------
Baandh Lein Haath Pe Seene Pe Saja Lein Tum Ko
Jee Mein Aata Hay K Ta'aveez Bana Lein Tum Ko

Phir Tumhein Roz Sanwarein Tumhein Barhta Dekhein
Kiyon Na Aangan Mein Chanbeli Sa Laga Lein Tum Ko

Jaise Baalon Mein Koi Phool Chuna Karta Hay
Ghar K Guldaan Mein Phoolon Sa Saja Lein Tum Ko

Kia Ajab Khahishein Utthati Hain Hamare Dil Mein
Kar K Munna Sa Hawaon Mein Uchhalein Tum Ko

Iss Qadar Toot K Tum Pe Hamein Pyar Aata Hay
Apni Banhon Mein Bharein Maar He Dalein Tum Ko

Kabhi Khuwabon Ki Tarah Aankh K Parde Mein Raho
kabhi Khahish Ki Tarah Dil Mein Bula Lein Tum Ko

Hay Tumhare Liye Kuchh Aisi Aqeedat Dil Mein
Apne Haathon Mein Duaon Sa Uttha Lein Tum Ko

Jaan Dene Ki Ijaazat Bhi Nahi Dete Ho
Warna Mar Jayen Abhi, Mar K Mana Lein Tum ko

Jis Tarah Raat K Seene Mein Hay Mahtab Ka Noor
Apne Taareek Makanon Mein Saja Lein Tum Ko

Ab Tou Bus Ek He Khahish Hay Kisi Mor Per Tum
Hum Ko Bikhre Hue Mil Jao, Sanbhalein Tum Ko

Aaj yun mausam ne dee jashn-e-muhabbat ki khabar
Phoot ker rone lage hain mai muhabbat aur tum

Hum ney joon hi ker liya mehsoos manzil hai qareeb
Raastey khone lage hain mai muhabbat aur tum

Chaand ki kirno ne humko is tarah bosa diya
Devta hone lage hain mai muhabbat aur tum

Aaj phir mehroomiyon ki daastane orh ker
Khak mai sone lage hain mai muhabbat aur tum

Kho gaye andaaz bhi awaz bhi alfaz bhi
Khamshi dhone lage hain mai muhabbat aur tum
 
 

chandani raat k hatoon pe swar utari hai
koi khooshbo meri dehlees ke paar utri hai

is mai kuch rang bi hain khawab bi mehkar bi hai
jhilmilaati hovi khawish bi hai inkar bi hai
isi khushboo mai kai dard bi afsaanay bi
isi khushbo ne banay kai dewane bi
maire anchal pe ye umidoon ki kitaar utri hai
koi khushbo meri dehlees ke paar utri hai

isi khushbo se kisi yaad ke dar khulte hain
maire pairoon se jo lipte to safar kilte hain
yehi khushboo jo mujhe ghar se utha laai thi
ub kisi toor palat kar nahi jane daiti
meri dehlees bulaati hai mujhe loot aao
ye hi khushbo mujhe wapis nahi aanai daiti

runj or dard mai doobi ye bhaar utri hai
koi khushboo meri dehlees ke paar utri hai

chandani raat ke haathoon pe sawaar utri hai
koi khushboo meri dehlees kay paar utri hai

 
Ab jo bichray hain toh ehsaas hua hai hum ko
Dard kya hotah hai tanhai kisay kehtay hain
Char so gunjti ruswai kisay kehtay hain
Ab jo bichray ko ehsaas hua hai hum ko

Koi lamha ho tere yaad mai kho jatay hain
Ab toh khud ko bhe muyassar nahi aaa patay hain
Raat ho din ho tere pyar mai hum behtay hain

Dard kya hotah hai tanhai kisay kehtay hain
Ab jo bichray hain toh ehsaas hua hai hum ko

Woh jo ghum aye usay dil pay saha kertey thay
aik saith hum mil ker raha kertey thay
Ab akelay he zamanay ke sitam sehtay hain

Dard kya hotah hai tanhai kisay kehtay hain
Ab Jo bichray toh ehsaas hua hai hum ko

Hum Nay khud apni rahon mai bichaye kantay
Gher mai phoolon ke jagah la ker sajaye kantay
Zakham iss dil mai basaye howe khud rehtay hain

Yun toh duniya ki har cheez haseen hoti hai
Pyar say maghar kuch bhe nahi hoti hai
Rastah rok kay har aik say yehi kehtay hain

Ab jo bichray hain toh ehsaas hua hai hum ko
Dard kya hotah hai tanhai kisay kehtay hain
Char so gunjti ruswai kisay kehtay hain
Ab jo bichray ko ehsaas hua hai hum ko